لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ana mazloom hussain

Sayed Shabrez2016
ShiaNohaLyrics
Ana mazloom Hussain Ana mazloom Hussain Ana mazloom Hussain Ana mazloom Hussain.. Mera Nana hai Nabi Mera baba hai Ali Aur meri maa Zehra Ana mazloom Hussain.... Ana mazloom Hussain Ana mazloom Hussain Ana mazloom Hussain Ana mazloom Hussain Quraan Kya hai qasida hai mere Nana ka Namaz doshe Mohammed pe ki hai Maine ada Main la ilaah ki baqa nahi hai khaufe qaza Baqaye deen e Khuda Ana mazloom Hussain.... Wafa ki raah me abbas de diya Maine Safar me Phool Sa asghar bhi kho diya Maine Sitam ki had guzri qaza bhi roti Bicha ke farsh e aza Ana mazloom Hussain.... Sukun dil na raha Mar gaya jawaan Mera Gareeb e khasta badan Hogaya hu main tanha Labo pe naad e Ali sada yeh deti rahi Mera koi na bacha Ana mazloom Hussain.... Hasan ka chand bhi tukdo me bat gaya dekho Zara si der ruko zalimo zara socho Ghamo ka hai yeh sukhan tadap rahi hai bahen Labo pe hai girya Ana mazloom Hussain.... Yeh Kaisa din hai ke sadaat hai gareebi hai Tadap rahi hai sakina tadap ke roti hai Nahi hai aas nahi pidar bhi pass nahi Sitam ka hai saaya Ana mazloom Hussain.... Ke mere baad shaki yeh sitam bhi dhaayega Yateem bacho ko Durro se woh darayega Yeh al atash ki sada sune to koi Khuda Bataye Kya hai khata Ana mazloom Hussain.... Charage ishq e Khuda is tarha jalaunga Seena ki nok se Quraan bhi sunaunga Yeh Mera wada raha sune yeh fauje jafa Sada e Haq ki nida Ana mazloom Hussain.... Sada e Hazrat e mazloom hai baqa Yawar Hussain sabr ka paikar hai ba Khuda Yawar Zubaan Haal hai yeh nabi ka laal hai yeh Suno hai jiski sada Ana mazloom Hussain....