لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaisi ye shaam aayi

Sayed Shabrez2016
ShiaNohaLyrics
kaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par, Sajjad ro rahe hai, zainab se muh chhupa kar Ek simt bekafan hai bhai ka uske laasha Abbas ki behen ka baaki raha na parda Ab sochti hai zainab maange kafan yaa chaadar Baba hai kulle imaa'n maa meri Sayyada hai Gurbat ko meri dekho haatho se muh chupa hai Haste rahe muslamaa'n meri aba jalakar Baazu kahin pade hai lasha kahin pada hai Zainab ki bebasi par ghazi tadap raha hai Roti hai bekasi bhi farshe aza bichha kar Jo ghar me do kadam bhi paidal nahi chali hai Ek din mei wohi Zainab Abbas ban gayi hai Pehre pe aagayi hai tanha alam utha kar Dushwar hai bahen ka laasho ke samt jana Aye ghumzada hawao Abbas ko bulana Behte hai mere aansu nauha yehi sunakar Sajjad se lipat kar kehti rahi sakina Ehsaas ho raha hai main ho gayi yateema Zaalim dara raha hai naiza dikha dikha kar Hai imtehaan Mera aashur dhal gayi hai Baad e Hussain Zainab jeeteji Mar gayi hai Sajjad natava hai kamsin hai Mera baqar Laasho ke darmiyan woh baba ko dhoondti hai Muh apna peet kar Yeh faryaad kar rahi hai Kadmo me hi sula do baba mujhe bula kar Jab agaye najaf se beti ko milne baba Zannu pai rakh ke sar yeh kehne lage wo dukhiya Zainab ujar gayi hai karbobala basa kar Khaimon ke sath jula bistar bhi jal giya hai Namose Mustufa ko baaghi kaha gaya hai Le jayenge subha ko qaidi hume bana kar Guzre kaise yawar maqtal se shahzadi abid ne raat momin yeh soch kar guzari zainab ka naam lega zalim Jo muskura kar Kaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par, Sajjad ro rahe hai, zainab se muh chhupa kar