لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Meri jaan sakina

Sayed Shabrez2017
ShiaNohaLyrics
Haye sakina...... 4 Baba tere sadqe aaye meri jaan sakina Ho jau teri pyas pe qurbaan sakina Kuch pal me ujad jaega amma ka bharaghar Hoga nahi sina tujhe baba ka mayassar Duniya teri hojaegi viraan sakina Rona nahi bacchi meri wada ye karo tum Kuch der ko khaime mai meri jaan chalo tum Baba pe karo itna to ehsaan sakina Sine pe sulaunga mai loree suna kar Chahunga tujhe beti aakhon me basa kar Ye lamha karo mujpe tum aasan sakina Asghar ki judaai ka hai daag jigar me Bikhra hua qasim hai baba ki nazar me Bhula nahi akbar ki azaan sakina Aagosh mei amma ki baitha karo beti Kuch paal me badal jaegi taqdeer tumhari Baba hai kuch ghadi ka mehmaan sakina Shabbir jo maktal ki janib hai sidhare Ro ro ke sakina ye Aashoor pukare Bin tere kya jiyegi teri jaan sakina