لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sahib e qirdar hai ghazi

Sayed Shabrez2017
ShiaNohaLyrics
Tausan sawaar sahibe kirdaar hai gazi Karbobala ka haidare qaraar hai gazi Haider ki ilteja hai dua fatema ki hai ×2 Dine khuda ka Qafla salaar hai gazi Chinne lagi  rida to sada alqama ne di ×2 Zainab teri rida ka azadaar hai gazi Ta hashr tera shukriya aye madare jari ×2 Aisa jawaan kiya ke alamdaar hai gazi Dariya ko jisne cheen ke pani nahi piya ×2 Zaate wafa mei aisa wafadaar hai gazi Jalti hue zameen ke hoto pe thi buqa ×2 Boli labe furat ke ghumkhwaar hai gazi Jiski ada pe kaap gae arze nai nawa ×2 Haider tere jalaal ki talwaar hai gazi Yawar ke har khayaal ko de martaba juda ×2 Naukar tera Tera qalam kar hai gazi