لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Alamdar e Hussain

Sayyed Ali Muntazir2023
ShiaNohaLyrics
*Alamdare Husain* Baba ki apne pahen ke dastaar aata hai Karne sitamgaro ko wo finnar aata hai Ghaazi ko dekh kar yahi kahta tha har adu Bhago ke ibne haidare karrar aata hai Alamdar Alamdar Almadar Sani E Ali Maula (2) Madadgare Hussain , hussain , hussain Alamdar e hussain (4) 1. Husainy fauj ka salar hai Mera Ghaazi Ali ke jaisa alamdar hai mera Ghaazi Misaale jafare tayyar hai mera Ghaazi Samar hai fatima Zahra ki ye duaao ka Qasam khuda ye quran hai wafao ka Alamdar E Hussain (4) 2. Ali ke ghar me khuda ne ise utara hai Qamar hai Hashmi ye panjatan ka pyara hai Abbas zainab o kulsoom ka sahara hai Shabihe Shere jali banke aagaya ghaazi Ali ke ghar me ali banke aagaya ghaazi Alamdar E Hussain (4) 3 .Taharato ne sawara hai parchame abbas Dukhi dilo ka sahaara hai parchame abbas Hame to jaan se pyaara hai parchame abbas Alam abbas ka chumo to chain milta hai Isi ke saaye me mola Husain milta hai Alamdar E Hussain (4) 4. Zabaan khole to guftaar me ali jaisa Chale to chaal me raftaar me ali jaisa Sabih o qamat o kirdaar me ali jaisa Jari hai sher hai kirdaar hai mera Ghaazi Ali ka hubahu Shahkaar hai mera Ghaazi Alamdar e hussain (4) 5. Chala jo mashk o alam leke saniye haider Ali ke sher ke dekhe uduu ne jab tewar Zamee larazne lagi ashqiya pe chaya dar Taraai ne bakhuda pyaas ko salami di Har ek mauj ne abbas ko salami di Alamdar e Hussain (4) 6. Labe forat jab aaya ali ka laal jari Qadam ukhad Gaye dariya se bhagi fauje shaqi Ulat ke naher ko Ghazi ne apni mashk bhari Jo Chalti dasht me talwaar ibne haider ki Yazeedi fauj ko yaad aati jange khaibar ki Alamdar E Hussain (4) 7. Yahi hai har ghadi Jawad ham dua karte Hayaat guzre wafadar se wafa karte Ye saans toote alamdar ki Sana karte Yaqee hai Ghazi shifa'at karega ham sab ki Husain ka ye sahara hai aas zainab Ki