لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ahle Aza Maahe Aza Agaya

Sayyed Ali Muntazir2025
ShiaNohaLyrics
Kyu ye atey hai ashkbaar bohat Kyu mera dil gai beqarar bohat Wo mahina qareeb aa pohcha Jiska tha mujhko intezar bohat Ahle Aza Mahe Aza Agaya Dil ye Mera Kyu Bhala Rone Laga Dilbare Shere Khuda, Ghar hai Hamara Khula, Ham Hai Tumhare Gadaa. Ye Chand Mahe Muharram Ka Jabse Nikla Hai, Gharo Me Ghazi Ka Parcham Koi Lagata Hai, Kahi sabeel pe pani koi pilata hai, Deta hai rokar sada, Aey Shahe Karbobala, lijiye pursa mera. Kahi'n pa matam o majlis ka ahtemam hai ab Kahi'n pa marsiya khwani kahi'n salaam hai ab Hamara kaam to itna hi subh o shaam hai ab Gham hai faqat shaah ka Kuch nahi iske sewa Kaam mera doosra Khuda kare yunhi hoti rahe Azadari Har ik jawa'n me rahe jazbaye alamdaari Na ruk sake ye kabhi ho agar che bambaari Hai yahi waada mera Ghaazi mere baawafa Koi nahi aapsa Hussain farshe aza par jise bulaate hain Ghar apna chodh ke wo majliso me aate hain Duaayen fatima zahra se phir wo paate hain Kahte hain ahle aza Jaane dil Mustafa Hai ye karam aapka Main de raha hoon sakina ka waasta ghaazi Bulalo mujhko bhi is baar karbala ghaazi Tumhe sunana hai jo haal hai mera ghaazi Aaun main jab karbala Rauza ho bas aapka Aur ye khaadim tera Karo rabaab ke us bezabaan ka maatam Zayeef baap ke kadyal jawaan ka maatam Jo ban me lut gaya us khaandaan ka maatam Ham shabihe Mustafa Bas hai ye armaa'n mera Dekhlun main karbala Jo nauhakhwan ye padhte hain shaah ka nauha To sar ko peet ke karte hain matami girya Ghame hussain me baccho ko karte hain sadqa Rahti hai lab par sada Baaniye farshe aza Aapka sad shukriya Hai ye tumhara karam ham pe Zainabe muztar Aza ka farsh bicha hai ghareeb khaane par Sar apna kham kiye kahta hai baraha Haider Bakht mera khul gaya Aagyin ghar fatima Lene ko ashke aza Dil Ki sada Ya Hussain(a.s), Gham ki Dawa Ya Hussain(a.s), Humko Bulana Hussain(a.s), Karbobala Ya Hussain(a.s) Maar Ke seene pe Hath Sab ne Kaha Ya Hussain(a.s)