لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye ali maula ali

Sayyed Asghar Ali2018
ShiaNohaLyrics
Haye ali ya ali ya ali Haye ali maula ali...haye ali maula ali ali ye soch kar aansu bahate hai hai shab e zarbat amanat tumne jo sounpi thi mujhko malka e jannat kise sounpu unhe mai baad mere haye re ghurbat jo dil per hai guzarti aaj mere koi kya jaane kya mere baad hoga mere baccho ka khuda jane yahi bus soch kar haider ka dooba jaa raha hai dil mere bacchon ki khatir baad mere sakht hai manzil karegi ummat e badkhwah ye jeena bahot mushkil ye ummat mustafa ki har qadam per zulm dhaegi hasad ki pyaas mere bacchon ke khun se bhujhaegi qaree'n hai eid ka din bhi khushi kaise manaege mere ghum me mere bcche faqat aansu bahaenge libaas e sogh me din eid ka rokar bitaenge bataun kis tarah bacchon ka mere dil dukhaegi tasalli unko dene ke liye ghar tak na aaegi mujhe maloom hai ummat ye kya kya din dikhaegi mere shabbir ko mehman bulakar ye sataegi kabhi bete kabhi bhai ke laashe per rulaegi madad ke waaste thame qamar mujhko pukarega jawan bete ka jab laasha mera sarwar uthaega phir uske baad sarwar per chalegi zulm ki shamsheer koi maarega patthar to koi naiza to koi teer ye manzar dekhkar roti rahegi zainab e dilgeer ke meri dushmani me zulm ye bhi dhaya jaega behan ke saamne bhai ke sar ko kaata jaega sitam baad e shahe karbobala ye tham na paega sitam aal e nabi ar aur bhi ye badhta jaega sitam ki zadd pa baad e shahe deen sajjad aaega pahen ke bediyan paun me paidal shaam jana hai use taa umr zainab ki rida ka gham uthana hai ALI (AS) DAKHIL HUE MASJID ME TO AALAM AJAB DEKHA CHHUPA KE TEGH QATIL MASJID E KOOFA ME HAI SOYA JAGAYA USKO AUR MEHRAAB KI JANIB CHALE MAULA (AS) ALI E MURTUZA (AS) NE SAR JO APNA SAJDE ME RAKHKHA ZAMEEN HILNE LAGI LARZA FALAK AAI QAYMAT HAI LAGAI SAR PA HAIDER (AS) KE BINE MULJIM NE ZARBAT HAI ALI (AS) KO MASJID E KOOFA SE GHAR HASNAIN (AS) LE AAYE PIDAR KO DEKH KAR ZAKHMI JARI YE RO KE FARMAYE MERE BABA KE SAR SE KHOON KITNA BAH RAHA HAYE YE MANZAR DEKH KE SEENA KAHEEN GHAM SE NA PHAT JAYE NABI (SAWW) KE BAAD YE UMMAT HAME KITNA SATATI HAI YE SIN ME HI YATEEMI KE HAMEÑ AB DIN DIKHATI HAI ali ka zakhm jab jarrah ne dekha to ki taqreer chalayi jo layin ne zehar aaluda thi wo shamsheer milega kuch ghadi araam maula ko pilao sheer raheen e kufa ne jab ye suna haider ke ghar aaye ali ke waaste bhar bhar ke pyale sheer ke laaye bula ke paas shabbar ko wasiyat karte hai maula ho mere baad ummat ke imam e haq tumhi beta ke hamsheer o baradar ka khayal ab tumko hai rakhna meri nazro me manzar karbala ka saara phirta hai inhe deen e nabi ke waaste har ghm uthana hai kaha ummul bani ne haider e qarrar se rokar khata kya ho gayi ghazi se aisi saqiye kausar kaha haider ne kyu maghmoom ho abbas ki ki madar jari ka haath dast e shaahe deen pe rakh ke farmaya shahewala ka ye bann kar rahega umr bhar saya wasiyat karke duniya se hue rukhsat ali maula bahot rone lagi baba ke gham me zainab e kubre qayamat saqi e kausar ke ghar me ho gayi barpa utha "Asgar" janaza jis ghadi sher e elahi ka "Wilayat" gham se dil phatne laga zehra ki jaayi ka.....