لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Marqad pe mohammed ke hasnain ka nauha hai

Sayyed Asghar Ali2018
ShiaNohaLyrics
markad pe muhammad ke hasnain ka nauha hai nana teri ummat ne zehra ko sataya hai Baad aapke logon ne wo zulm kiye nana suraj ne kabhi jiska saya bhi nahi dekha us umme abiha ko darbar bulaya hai Aye nana madine ki kuch  aisi hawa badli 18ra baras me wo lagti hai zaifa si dil chur hai zakhmo se pehlu bhi shikasta hai Jhutla ke daleelo ko makhdooma e alam ki haq chin ne walo ne hadd zulm ki ye kardi jalta hua darwaza pehlu pe giraya hai Allah ki lanat ho in ehle saqifa per rone bhi nahi dete mazloom ko baba per makhdooma e alam ki faryaad pe pehra hai Tha zakhm abhi taza baba ke bichadne ka mohsin ki shahdat ne dushwar kiya jeena fizza se koi puche kis haal m zehra hai Chalne ko asa ab to darkaar hai zehra ko tasbeeh ka padhna bhi dushwar hai zehra ko bus haath hai pehlu per pasli bhi shikasta hai Is qarb se guzri hai firdaus ki shehzadi i zalim ke tamache ko taa marg nahi bhuli bekas ka janaza bhi tareekhi me utha hai Thi haalat e sajda me hasnain ki maa "Ehsan" jis waqt sidhari hai wo sue jina "Ehsan" wo lamha hume 'Asgar' sadiyon se rulata hai.