لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ka matam

Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz2000
ShiaNohaLyrics
Abbas ka matam Abbas Ka Matam Hai Alamdar Ka Matam... Farzande Ali Haidare Karrar ka matam...Abbas(a.s) Hai shabbir (a.s) khaimo ke nigehba, saalar hai lashkar ke to bachho ke nigehba, parde ke muhafiz hai ye behno ke nigehba, (Daryaa ka kinara hai)..(2) Wafadar ka matam lashkar ke alamdar pe lashkar ki nazar hai abbas ke jazbat pe sarwar ki nazar hai is sher ke ehsas pe ghar bhar ki nazar hai (Daryaa ka kinara hai)..(2) Wafadar ka matam Abbas ko ladne ki ijazat na milegi is sher ko jeene mein bhi rahat na milegi mar jaae to phir daade shuja'at na milegi (Daryaa ka kinara hai)..(2) Wafadar ka matam pani se bhari mashk ko kandhe pe sambhala, rehwar ko dariya ki rawani se nikala, dushman ki safe cheer ke nikla hai jiyala (Daryaa ka kinara hai)..(2) Wafadar ka matam Abbas ne shabbir ko ek baar pukara khaime mein meri laash na pohche mere aaqa sharminda sakina se hua jaata hu maula (Daryaa ka kinara hai)..(2) Wafadar ka matam Asgar Kabhi pyasi nazar aati hai sakina ammu ko nazar bhar ke bulati hai sakina abbas se pyas apni chhupati hai sakina (Daryaa ka kinara hai)..(2) Wafadar ka matam dariya hai jaha zero zabar sher ka matam haider ki tamanna ka sharar sher ka matam abbas ka matam hai magar sher ka matam (Daryaa ka kinara hai)..(2) Wafadar ka matam