لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qasim ki jawani

Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz2017
ShiaNohaLyrics
Qasim ki jawani hai ye qasim ki jawani Shabbir ke hatho pe hai shabbar ki nishani Haq baat pe jaan apni lutane ki thi aadat Dekho to ye allah ke sheron ki ibadat Qasim ke liye shahed se meethi thi shadat Sharminda bahit aaj bhi pyaso se hai paani Qasim ki jawani------ Ek tishnadahan jaan pe har simt se yelgaar Naiza kahii chalta hai kahi chaltii hain talwaar Woh oyaas ka aalam tha k ladna bhi hai dushwaar Ek ghoont bhi peene ko mayassar nahi paani Qasim ki jawani------ Zaat apni dhikahaii hai kamiino ne kiya hai Ye kaam to kamzarfoo ke seeno ne kiya hai Qasim ko tahe tegh laeeno ne kiya hai Aankho me kisi ki nazar aaya nahi paani Qasim ki jawani------ Talwaar pe qasim ki chala bus na kisi ka Yu'n ran me tha farzande hasan ibne ali ka Dushman ki nigahoo me sarapa tha jari ka Khoon apna diya manga jo talwar ne paani Qasim ki jawani------ Is phool ko sehre me kisi tarha basaae Farwa ka tha armaan kaleje se lagae Deti thi duae'n kabhi leti thi balaee'n Kya kijiye ashkoo se badal jata hai paani Qasim ki jawani------ Shabbir ka kaleja tha k tukde hue qasim Pairo tale ghodo'n ke rounde gae qasim Maidan me har simt the bikhre hue qasim Pyaso ko kahi dete hain is tarha se paani Qasim ki jawani------ Chandii sa badan qasim-e- be sar ka hai laashaa Shabbir ne socha mere shabbar ka hai laashaa Afsoos SHARARR mahe munawwar ka hai laashaa Paani ne palat kr kabhi manga nahi paani Qasim ki jawani------