لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zahra ko zalimo ne loota

Seerat Abbas2014
ShiaNohaLyrics
Haye zahra.. haye zahra Ya zahra....., ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2) Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata Makhdooma e do aalam ko kyu ghar mein bhi rone na diya Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata 1. Jis paak moazma bibi ki tazeem Mohammad karte the darbaar bulaya ummat ne kalma bhi nabi ka padhte the baba ki wirasat se na haq, is zahra ko mehroom kiya Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata 2. Zahra pe itne zulm hue ho sar ke baal safed gaye darbaar ke khali laut aayi, din raat uske rote katte dukh kaise bhulaye hakim ne, jhutlaye iske paak gawaah Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata 3. Haq cheen liya jab zahra ka phir bhi na chayn se rehne diya haider ke gale mein daali rasan nahi zalimo ko kuch aayi haya ghar dakhil hoke ummat ne, kyu zakhmi kiya pehlu iska Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata 4. Jis darr ki salami ki khatir din raat malaek sab aate us darr ki azmat kya hogi jaha'n paak nabi khud ruk jaate uss darr aqdas ko aag laga, diya zalimo ne zehra pe gira Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata 5. Tehreer rasool ki na maani haq maangne ko darbaar gayi mohsin bhi 'aqeel shaheed' kiya rahi zinda jab tak roti rahi ye ajar risaalat ummat se, haye baad nabi zahra ko mila Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata Makhdooma e do aalam ko kyu ghar mein bhi rone na diya Zahra ko zalimo ne loota, kyu baad nabi be jurm o khata Ya zahra....., ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)