لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maae Karbala Ki Maae

Shabana Sunasara (Kanodar)2024
ShiaNohaLyrics
Jab huwi mansha khaliq ki Karbal ko arsh banaaye Likhe baad me naam bahattar ke Rab ne likha pehla maae Maae Karbala Ki Maae (×2) Beto ki laasho ke tukde Haye dhoondti hai sehra mein Maae Karbala Ki Maae (×2) Haaye Maa... Akbar ki maa... 1. Malik e sabr se ye roke Layla ne kaha Izn gar ho aaka Seenae Akbar, se hum bhi Barchi ka phal khichwaaye Maae Karbala Ki Maae (×2) Haaye Maa... Qasim ki maa... 2. Boli Qasim ki ye maa mujhpe ehsaan ye kar Ladte rehna beta Tere tukde mutabik, badhti hai Mere maula Hussain ki saanse Maae Karbala Ki Maae (×2) 3. Jab wo qaidi hoke, haaye maqtal se chale Bain the Zainab ke Baccho ki laashe, na dekhe Saanse na kahi rukjaaye Maae Karbala Ki Maae (×2) 4. Kehti hai Zainab ye aakhe kholo Sajjad Ghash na aajaaye kahi Shaam e ghareeba, mein beta Hum sabko kaise sambhaale Maae Karbala Ki Maae (×2) Haaye Maa... Ghazi ki maa... 5. Bain Kulsoom ke the maine paala tha tujhe Apne bete ki tarha Mere sar se rida bhi, utri hai Jab kat gayi teri baahein OR Bain Kulsoom ke the apne bete ki tarha Ghazi paalaa tha tujhe Mere sar se rida bhi, utri hai Jab kat gayi teri baahein Maae Karbala Ki Maae (×2) Haaye Maa... Asghar ki maa... 6. Neze pe Asghar ko dekhke boli Rabaab Gar na qaidi hote Sar neze se tera, laane mein Hum der kabhi na lagaate OR Dekhke neze pe sar ropadi Umme Rabaab Mere beta Asghar Haanth bandhe hai, rassi se Sar kaise tera utaare Maae Karbala Ki Maae (×2) Haaye Maa... Hussain ki maa/ Sarwar ki maa 7. Shimr ke khanjar ke vaar Zehra roke Haath gardan pe tere Chakiya pees ke, paala tujhe Kaise haatho ko hataaye Maae Karbala Ki Maae (×2) Ya... Mahdi 8. Chauda sadiya hogayi Fatima ki hai sadaa Al Ajal ya Mahdi Tera rasta takti, hai beta Ye sab Karbal ki maae Maae Karbala Ki Maae (×2)