لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas-e-alamdar

Shabbir and Abbas Tejani2005
ShiaNohaLyrics
Abbas-e-alamdar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x4 Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar, (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Hai naame wafa aaj talak tujse hi baaki Rakhi jo sare aab hai bunyaad wafaa ki Is baat se karsakta nahi koyi bhi inkaar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Kha sakta nahi jhooti kassam koyi tumhaari Hai ek siffat baab-e-hawaaij bhi tumhaari Tu chahe to ruk jaaye abhi waqt ki raftaar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Ik mashk bhari nehr se, ik mashk diya khoon Jab mashk chidi behgaya sine se tera khoon Zainab ne kahaa maara gaya mera madadgaar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Dharas tha Sakina ki alamdar ka peykar Jab tak raha zindaa na chini bibi ki chadar Baad aap ke dakhil huwe khaymo(n) me sitamghar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Tum bazuwe shabbir ho haider ke pisar ho Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho Jitey hai(n) tumhe(n) dekh ke bas sayyede abraar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Tum ruh-e-ali, jaan-e-hussain, ibn-e-ali ho Tum ibne wali, ibne wali, ibne wali ho Hai dushamne dee(n) ke liye bazu teri talwaar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya Tum lashkar-e-shabbir ke ho haider-e-karrar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Tum Fatema Zehra ki duwawo ka asar ho Tum dhoop me Zainab ke liye misle shajar ho Parcham ka pharayra hai tera aisa hawaadar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Haider ne namaazo me jo Allah se manga Kehte the khuda de mujhe Abbas sa beta Wo jisko kahe sara arab Ghaziyo Jarrar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 "Rehan" kalam zikre alamdar karenga "Abbas" ke munkir ko jo talwaar lagenga Wo mere madadgaar hai mai unka hu ghamkhwaar (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2 Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar, (Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2