لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya haider-e karrar

Shabbir and Abbas Tejani2005
ShiaNohaLyrics
Ya haider-e karrar (Ya haider-e karrar) x9 Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6 Masjid udaas mimbare kufa udaas hai Tar khoon me khuda ke wali ka libaas hai Rota hai asmaan zami(n) ghamse phat gayi Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6 Masjid me rozadar par kaysa sitam huwa Kabe se aa rahi hai sadaa wa musibata Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6 Haay haay yateem Shabbar-o-Shabbir hogaye Abbas dilko thaamke rote huwe chale Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6 Duniya mei bekaso ka sahara nahi raha Utraa tha jo falak se sitara nahi raha Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6 Maula mera jo khoon me apne naha gaya Bole farishte haye ye kaisa sitam huwa Hurrain ye roke kehti thi duniya ujargayi Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6 Zehra lahad me roti hai Haider ke waste Kehti hai cheyn kabr ke andar nahi muje Bacho pe mere gham ki ghata aaj chhagayi Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6 "Rehan" mere saath me rone lagaa kalam Aankho se mere jaari huwe ayse ashke gham Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2 Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi (Ya haider-e karrar) x6