لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Ibne shere khuda

Shabbir and Abbas Tejani2006
ShiaNohaLyrics
Abbas Ibne shere khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 mashko alam leke ghar se chalaa Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Zainab ne dam karke naade ali, Apni rida bhayi par daaldi, Dekar duwa ghar se rukhsat kiya Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Bacho(n) ke lab par khushi agayi, Kuchh der me tashnagi jayengi, Darya ki janib chale hai chacha Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Ghazi ne saahil pe rakha qadam, Khakar sakina ke sar ki qasam, Bharlunga is mashk me alqama Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Parcham hawa me jo urhne laga, Zainab se bole shaahe karbala, Bhayi palat aaye mango(n) duwa Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Kehti thi bali sakina yahi, Mera chacha hai bahadur jari, Rokega kaise koi raasta Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Lekin achanak ye kya hogaya, Ghazi ka parcham larazne lagaa, Bedast hokar giraa bawafaa Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Ghazi jo zee(n) se zami(n) par ghira Rokar Sakina se usne kaha Sharminda Bali tera hai chacha Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 Sheh ki kamar gham se kham hogayi, Taakat shahe dee(n) ki kam hogayi, Lashakar ka sardaar maraa gayaa Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4 "Rehan" manzar wo kaise likhu(n) Mere qalam se tapak ta hai khu(n) Kehte the shabbir bhayi mera Abbas ibn-e-sher-e-khuda (Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4