Ay Alamdaar-e-wafa
Shabbir and Abbas Tejani•2008
ShiaNohaLyrics
Ay Alamdaar-e-wafa
(
Ay alamdare wafa) x6
(Ay shabihe murtaza) x2 Ay duaa-e-sayyeda
(
Ay alamdare wafa) x4
(Ghazi jari diler hai, shere khuda ka sher hai) x2
Abbas aysaa naam hai jo ke baghayre zer hai
Babe shehre ilm ko tohfa-e-rabbe awla
(
Ay alamdare wafa) x4
(Rag rag hai khune murtaza, shehre wafa ka hai khuda) x2
Tu aysa shah sawar hai zehre qadam hai alqama
Warise tegh o alam maniye harfe wafa
(
Ay alamdare wafa) x4
(Akse abu turab bhi chashme ali ka khwab bhi) x2
Apni misal aap hay aapna jawab khud bhi
Khalq ho payaa na phir aysa koyi dusra
(
Ay alamdare wafa) x4
(But shikan ki zindagi hasile sad bandagi) x2
Ye qamar hashim ka hai roshni hi roshni
Surajo(n) me chand hai, ye hai uska martaba
(
Ay alamdare wafa) x4
(Karbobala ka hai ali ye wali ibne wali) x2
Abru jisne rakhi tashnagi me pyaas ki
Zamzamo qausar ne bhi he jise sajda kiya
(
Ay alamdare wafa) x4
(Jang ki khahish liye khud se jo larta raha) x2
Nehr bhar kar mashk me bawafa pyasa raha
Katt gaye bazu magar nehr pe qabza kiya
(
Ay alamdare wafa) x4
(Jab zamin par zeen se hoke bebazu gira) x2
Hazrate shabbir ko ehtaraman di sadaa
Juk gayi sheh ki kamar roke dete the sadaa
(
Ay alamdare wafa) x4
(Khoo(n) bhara lekar alam jab hussain ibne ali) x2
Aye khayma gah me bolti thi khamoshi
Zainabo kulsum ne kehke ye matam kiya
(
Ay alamdare wafa) x4
(Nohaye abbas hai chal adab se ay qalam) x2
Kanpte he is jari ke naam se "rehan" hum
Hoke be bazu bhi jo haath thaame hai mera
(
Ay alamdare wafa) x6