لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya hassan

Shabbir and Abbas Tejani2008
ShiaNohaLyrics
Ya hassan (Ya Hassan) x12 Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 1. Zeyr-e-halaa hal mila, tukre jigar hogaya Teer sitam se huwa surkh kafan aap ka Aap ka tabut bhi lot ke ghar aagaya Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 2. Sulho ka andaaz jo sabz kabahi me tha Amn ka har marhala raah numayi may tha Sabr aya(n) aap ka sari khudayi me tha Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 3. Seerato qamat me the aap shabi-e-nabi Aap ali manzilat aap ali azm bhi Teghe kalam behr me aap ke hatho(n) chali Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 4. Khoon se lagan bhargaya kaysa sitam hogaya Zowja-e badbakht ne aap pe ki thi jafa Gham se bura haal tha zainabo kulsum ka Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 5. Teero(n) ki barish huwi aap ke tabut par Pehla janaza tha jo lot ke aaya tha ghar Karbobala ke liye thi yahi pehli khabar Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 6. Sara badan sabz tha zehr ki taseer se Dard ye puchhe koi hazrate shabbir se Surkh tha ujla kafan aap ka jab teer se Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 7. Nana ke pehlu me bhi dafn na hone diya Kayse sitamghar the baniye zulmo jafa Kayse laeeno ne ki zulm ki ye inteha Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2 8. Kya likhu(n) "rehan" ab gham se jigar chaakh he Aaj ghamo ranj ki sar pe mere khaak hai Shor bapa aaj ye barsare aflaak hai Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda (Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x4