لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Al ajal ya imam

Shabbir and Abbas Tejani2009
ShiaNohaLyrics
Al ajal ya imam Ayna talibu bi dhuhulil anbiya, ayna talibu bi damil maqtooli bi karbala (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4 1. Har taraf jahan me zulm aur jafa hai Aaj aake dekho, waqt kya para hai Saare momino ke lab pe ye sada hai Inteqame karbala humko dekhna hai Har gari hamare dil me bus dua hai (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4 2. Ab munfiqat ka dor chal raha hai, Bekhata lahu ko jo bahaa raha hai Zulm ki hukumat, aaj har jaga hai Samarra me dekho, haye kya huwa hai Aaj be alaamat, qabr-e-sayyeda hai (Sayyeda fatemah, sayyeda fatemah) x4 3. Tum bhi mere maula ibne sayyeda ho Jaane mustafa ho, ibne murtaza ho Maula askari kai, aap mehlaqa ho Aaj aap maula, shaahe karbala ho Zalimo(n) ke sar ki, aap hi qaza ho (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4 4. Aap ayiye ab, muntazir hai kabaa leke awo khanjar, shahe la fatah ka aap ayenge jab, inqelab hoga aap ka hai sadqa, ye jahaan saara naam leraha hai, har malak tumhara (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4 5. parchame hussaini haath me uthaawo mausame adalat, aap leke aawo farsh ab aza ka, har jaga bichaawo aur diya aza ka, har taraf jalaawo Rab se jo kiya hai, wada tum nibhaawo (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4 6. Kaise bhool jaaye(n), Karbala ka manzar Shaah-e-karbala tha, zee(n) pe na zamee(n) par Pyaasa wo gale par, chal raha tha khanjar Khayme se ye Zainab, keh rahi thi rokar Babajaa(n) bachaawo, karbala mei aakar (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4 1. Darke niche zahra jabke gir rahi thi Haath tha kamar par baap ko sada di Mohsine ali ko jabke kho rahi thi Marte marte zahra deti thi duhayi Ab hai unki badla teri zimmedari (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4 2. Kayinaat me hai har zaba(n) pe naaraa Inteqame zahra lijiye khudaaraa, Aap ko tejani ne hai ab pukaaraa Dijiye qalam ko aap ka sahaaraa Nohay jab parhe ham saath ho tumhaaraa (Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4