لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Pathar ki barish

Shabbir and Abbas Tejani2009
ShiaNohaLyrics
Pathar ki barish ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 1. Qasim nahi hai (n), Akbar nahi hai (n) Had hai yahi ke , Asghar nahi hai ( n) Ab na bacha hai , koi sahara Kulsoom ka hai , ye bayn lab par ( Haaye shaam ka majma , aada ka hai nargha , abbas chale aawo ) x2 2. Aun -o-Muhammad, ko laayi zainab Bacho (n) ko qurbaan , kar aayi zainab Sadmaa-e-kulsoom bas yahi tha , Qurbaan kardu ( n), mei kisko sheh par ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 3. Abbas aaye khaime me dekha , Sar ko jukaaye bethi thi behna , Kulsum tumhaare naam par me, sar apna dunga maqtal me jaakar ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 4. Kulsum kaise bhoole wo manzar Jalte the khayme , chhinti thi chaadar Abid ko jhalte khaymo ( n) se Zainab Kaandho ( n) pe laayi , abbas bankar ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 5. Shaam-e-gharibaa (n), jab ban me chaayi Bali Sakina , maqtal me aayi Kulsoom tanha , ban mei khari thi Koi nahi tha , munis-o-yawar ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 6. Masum bachi , darbaar ka dar , Noke sina par hai baap ka sar , Har ik taraf hai ghayron ka majma Kisko bulaaye , sarwar ki dukhtar ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 7. Parde ka zamin , Abbas ka sar Rehta nahi hai , nok-e- sina par Bazaar mei jab, kulsoom aayi Manzar na sehpaya wo dilawar ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 8. Kaise chalengi , beti ali ki , chaaro ( n) taraf hai majma sharabi Zalim ka majma , sarwar ka kunba Guzrenge kaise , aal -e- payambar ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 9. Darbaar me jab zalim ne pucha Tumme se zainab hai naam kiska Darbar ka dar rokar pukara Ho tum kahaan ay fatahe khaybar ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2 10. Bus ye dua hai kulsoom bibi , Nawha sunaaye jab bhi tejani Har dam rahe hum dono pe qayam , Ghazi ke parcham , ka saya sar par ( Pathar ki barish , shahzaadiyo ( n) par, Kusloom ke sar , par thi na chadar ) x2