لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya hussain ibn-e-ali

Shabbir and Abbas Tejani2009
ShiaNohaLyrics
(Hussain ya hussain) x4 Kullu yawmin ashura, kullu ardhin karbala (Hussain ya hussain) x2 Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 1. Dasht karbal me tera, laash teeron pe pada, Rorahi thi ye zami(n), aasma(n) rota raha Haaye madar wo teri, bayn ye karti rahi, Ay mere pyaare hussain, god me aao zara Sarakhat fatematah, al Hussainun qatalah, yarqudu alas-seham, waa Habibi waladi (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 2. Tere asghar ka gala, tere akbar ka jigar, Bhaayi abbas ke gham, me teri tooti kamar, Aur paamal badan, ran me qasim ka huwa Ek din me hi luta, karbala me tera ghar dhubihoo kullu baneen, tasjudu anta jabeen, tashkuru khaaliqaka, ya ilaaha al-azali (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 3. Ran me talwar bina aaye abbas e ali, Har taraf hamla huwa, mashke paani bhi chidi, Ankh me teer laga aur paywast huwa, Dono bazu ko kata, ke gira asbe jari Wa huwa kullu al-wafa, yasrukhu bar wa samaa, saqat Abbas jari, min Hisaanin khashbi (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 4. Haaye besheer tera, bezaba(n) qatl huwa, Pyaas ke badle jise, zulm ka teer mila Alqama roti rahi, larzi karbal ki zami(n) Tumne jab uska lahu, apne chehre pe mala Wa buka nahrul furaat, raahat min jismi hayaat, inda waslis sahami, ala Hulqoom iz-zaki (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 5. Asr ashur ka waqt, kaise hum bhool sake Aayi awaaze aza(n), aap ghode se gire, Khayme ke darpe teri, behen khu(n) roti rahi Tha tera paak gala, shimr ke tegh tale Aktubu kayfa ana, rabbuka yandhurka, thumma Allah yaqool, irjie'ee ila rabbuki (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 6. Aag se khayme jale, sar se chaadar bhi chhini, Dasht me tanha sakina teri roti rahi Toq me bandha gaya, tere abid ka gala, Teri mazlum behan, berida shaam chali Ashalu kullul khiyam, feeha abnaaul imaam, udhhibu ahlan-nabi, ila qasar il-umawi (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 7. Tere sajde se bachaa, hai namaaz aur qura(n) Aaj masjid se jo aati hai awaaze azaa(n) Humko karbal ne sikhaya hai jeene ka hunar, Teri qurbaani se baqi hai ye arz-o-samaa(n) Ya imaam al-abraar, anta ya bal ahraar, saabirun ibn sabur, ya ameeral al-abadi (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 8. Aaj ghar ghar hai saja, tere ghazi ka alam, Umr bhar humko rulaata rahega tera gham Har gali aur shahar, tera matam hai bapa Khu(n) bahaate hi rahenge tere naam pe hum umruna feeka fida, ahluna kullu laka, nadhkurooka sayyidee, ya Hussain ibni Ali (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 9. Hai tejani ka qalam, aur dil nawha kunaa(n) Ye muqaddar hi tera, kistarha hoga bayaa(n) Jalti reti pe pada, tera laasha bekafan Aapke paak badan, se huwa khoon rawaa(n) Jismuka fawqa turab, wa damun kullu thiyaab, ihtaraq jismuka min, barri wa ash-shamsi ghali (Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi) x2 (Hussain ya hussain) x2