لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas hai naam mera

Shabbir and Abbas Tejani2010
ShiaNohaLyrics
Abbas hai naam mera Thararahi hai dharti , ye kon aaraha hai Tu kon hai sawari , lashkar se ye sada hai , Sar ko buland karke , wo shaks kehraha hai ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 1. Bachpan mei lori sunaakar , mujhko sikhaayi hai madar Sunlo zara mere bete , Zainab ko hai naaz tumpar Bolo hai Shabbir aqa , haa (n) bas mei nokar hu (n) uska , Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 2. Shazadiyo (n) ka jigar hu (n), hashim ke gar ka qamar hu (n) Zahra ne jo rab se mangi , mei wo dua ka asar hu (n) Salaar hu mei haram ka, haqdaar hu mei alam ka, Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 3. Mei josh mei aagaya hu (n), khaybar ka manzar dikhaadu (n) Talwaar bin bhi tumhaare , aakar mei gardan urhaadu (n) Ghayro (n) na warna karunga , mushkil mei jeena tumhaara , Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 4. Saara arab jaanta hai , jarrar ibn -e- jali hu (n) Tum mei hai jo khof -e- haider , samjho ke khud mei Ali hu (n) Ehle wafa ka hun kabaa , baba ne is tarha pala , abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 5. Himmat agar hai kissi mei , is sheyr se aake larna , Maqtal se kyu bhaagte ho, laakho (n) ho tum mei hun tanha Ik haath mei cheen lunga , dariya ka har eik qatra , Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 6. Mene Sakina ka kuza , baandha hai apne alam se Parwa nahi mujhko apni , mashk ko bachawunga dam se Bacho (n) se mene kaha tha , koi rahega na pyasa , Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 Kitna masum hai pyara hai bhala hai abbas , Dile haidare karrar ki tamanna hai abbas God me mus-haffe natiq ki pala hai abbas To, din me suraj se bara hai abbas Fatema Zahra ki mun mangi dua hai abbas Panjaten panch ne ek saath milke dua mangi Tab kahi jaake zamane ko mila hai abbas Istarha jang ke maidan me karra hai abbas Sochiye haidere karrar hai ya hai abbas To baap agar chehe to dare khaibar lele Beta agar chillu me chaahe samandar lele 7. Darya mei parcham ko ghaara , haatho (n) mei paani uthaaya Hai inteha ye wafa ki , Lab par na paani ko laaya Bola ke kaise piyunga , pyaasi hai meri Sakina , Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 8. Darya pe ab aagaya hu (n), mashkiza bhi bhar liya hu (n) Ghore pe hoke sawaari , khaymo (n) ko ab lot'ta hu (n) Darpe khari hai Sakina , takti hai wo mera rasta , Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 9. Afsos kat'ke gire the, ghazi ke bazu zami (n) par Mashkiza bhi chid gaya aur , zee(n) se gira ibn -e- haider Ghabra ke boli Sakina , ata hai kyu (n) ab na naara , Abbas hai naam mera ( Sheyr -e- khuda ka hu (n) beta, Mujhse na koi bachega , Abbas hai naam mera ) x2 10. Duba huwa tha lahu mei , ghazi ka lasha tejani Bazu qalam hogaye aur , jalti zamee (n) pe tha pani Shabbir rokar ye bola, phir se pukaaro ay bhayya , Abbas hai naam mera