لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Lori suna rahi hun

Shabbir and Abbas Tejani2010
ShiaNohaLyrics
Lori suna rahi hun ( Soja meri sakina ) x3 (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 1. Baba ke sine se tum jabse juda huwi ho Ik raat neend ayi , beta nahi hai tumko Ab me sula rahi hun ajaa meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 2. Mujhko yahi khabar hai dukh dard ki ho maari Tumko hai sabr karna ye bhi khuda ki marzi Tu misle fatema ab banna meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 3. Ayega ab na koi bhi leke taziyane Marega na shimar ab rukhsar par tamache Har aik saans pe na ghabra meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 4. Kuchh din me to rihayi miljayegi sakina Zindane gham se chhutke jayege hum madina Madar ye kar rahi hai wada meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 5. Dekho ab aagaya hai baba ka sar ay beti Unko dikhana saare chehre ke zakhm bibi Jee khol ke tu ab to rona meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 6. Jab neend agayi thi , phir khaab aayi haaye Jis mei hussain apni beti se keh rahe the Ab waqt agaya hai aja meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 7. Jab qaid me sakina ko maut agayi thi Bazu hila hila ke madar ye roke boli Mujhse khata huwi kya batla meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 8. Abid larazte hathon se ik lahad banaye ye kehke apni behna ko phir wahi litaaye Kaise sahunga me gham tera meri sakina (Lori suna rahi hun , soja meri sakina ) x2 9. Paye the jab rihayi , ehle haram tejani Banu sisak sisak ke girkar yahi pukari Kaise watan ko jaun tanha meri sakina