لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Ya Abbas

Shabbir and Abbas Tejani2012
ShiaNohaLyrics
Abbas Ya Abbas ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Hai laqab ghazi tera , tu hai akse murtaza Bhaayi ho shabbri ka, aur Zainab ki rida Tu hai Zahra ki dua , aur alamdare wafa ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x2 Jo pareshaa ( n) haal hai , unke gham ko door kar Jo dua hai la- qabool , Rab se wo manzoor kar Momino ( n) ke har gunaah , rab se tu maghfoor kar ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Kal mila tha ye alam , jaffar -e- tayyar ko Jang-e- khayber mei mila , haider -e- karrar ko Aur karbal mei mila , ghazi-e- jarrar ko ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Har namaaze shab mei ye, thi ye Haider ki dua Mere bte ke liye , ik sahara bhejna Eik ik insaa ( n) mei se, tumko Allah ne chuna ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Nang-e- sar darbaar jo , ayi bint-e- fatemah Puchta tha ye yazeed , kon hai ab aasra ( hai kahaa ( n) ghazi tera ) Dekh ke bhaayi ka sar , roke zainab ne kaha ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Kya tumhe hai ye khabar , mei hu haider ka pisar Jaise baba sheyr the, hai mera waisa jigar Bhaglo ab waqt hai , aaraha hai ye qamar ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Ay adu sunlo zara , roko na rasta mera Chahte ho tum agar, ab ajal ka raasta Maut se darta nahi , hu ali ka ayina ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Bazuo ( n) dono kate , haaye mashkiza chida Gurz sar pe jab laga , bawafa zee( n) se gira As-salaam aqa mere, roke ghazi ne kaha ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Ponch kar abbas ke , laash par sheh ne kaha Tum to meri aas the, aur aankho ( n) ka diya Rut na jawo abhi , aankhei ( n) kholo phir zara ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3 Hai alam abbas ka, har hussaini ka nishaa ( n) Hai tejani muntazir , aur ye sara jahaa ( n) Ke uthaaye khud alam , aake maula -e- zamaa ( n) ( Ya abbas , abbas ya abbas , Ya abbas , abbas ya abbas ) x3