Abbas alam tera maqtal se aa raha hai
Shabbir and Abbas Tejani•2012
ShiaNohaLyrics
Abbas alam tera maqtal se aa raha hai ..
Shabbir ki qamar ko haae jhuka raha hai ..
1
Ye alam husainiyat ki pehchan hai karaata,
Yehi yazidiyat ke hai farq ko batata,
Koi chumta hai aa kar ..
Koi utha raha hai ..
2
Deti thi dilase mai aega abhi paani
Sab milke dua mango gazi ki hai jawani
Kyu khali alam baba
Khaimo me aa raha hai ..
3
Mushkil khusha ka beta karta hai yu bayazi
Kuch mang kr to dekho deta hai mera gazi
Hai hath alam par jo
Gazi bula raha hai ..
4
Zainab ki khaimagah se awaz aisi aayi
Chadar ka jo wada tha wapas hu lene aayi
Tatheer ka muhaafiz
Marne ko jaa raha hai ..
5
Mamnoon tera hu mai padhna sikha diya hai
Sardar ko is kaabil maula bana diya hai
Teri wafa ki baate
Sabko suna raha hai ..