لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

MAULA HAQ IMAM

Shabbir and Abbas Tejani2012
ShiaNohaLyrics
MAULA HAQ IMAM Hayya ala khayril amal , Hayya ala khayril amal Ya Hussain, ya Hussain, ya hussain ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain, ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Teero ( n) pe tha lasha tera Aur jism tha khu ( n) se bhara Jab aya khali zuljanah Peyro ( n) se lipti bibiyaa (n) ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Qasim jawaa ( n) maara gaya Pamaal bhi laasha huwa Sheh ne kiye tukre jamaa Roti rahi , qasim ki maa ( n) ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Abbas ke bazu kate Paani baha wo mashk se Gore ke zeen se jab gire Thi ye sakina ki fughan ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Sughra ne dekha khwaab mei Nazro ( n) mei ik partaab mei Asghar sawaal -e- aab mei Aur khu ( n) mei duba sarebaa (n) ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Nanna gala asghar ka tha Aur teer bhi uspe chala Haatho ( n) mei sheh ke khu (n) baha Rote rahe teero kamaa ( n) ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Shame ghariban ki ghari Neze se sab chadar chinni Aur aag khaymon me lagi Khamosh tha arz -o- samaa ( n) ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Abid ka tha ye imtihaa ( n) Pao ( n) mei jakde beriyaa (n) Hatho ( n) mei bandhe rassiyaa (n) Aur sheh ka sar nok -e- sinaa ( n) Sajjad ka wo imtehan , sajjad ka wo imtehan Wo sham ka darbaar tha Zainab khari thi berida Zalim ne ye haske kaha Ab hai tera ghazi kahan ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain Ab hai Tejani ki sada Ay matami sunlo zara Hai bibi zahra ki dua Har matami aur nawhakhuan ( Maula haq imam ya hassan ya hussain ) x2 Ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain , ya Hussain The zakhm wo tan pe hazaar Tha sine par, zalim sawaar Khanjar chalaya baar baar Aur halq se, tha khu ( n) rawaa (n)