لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

YA SHAHE KARBALA

Shabbir and Abbas Tejani2012
ShiaNohaLyrics
YA SHAHE KARBALA Allahuma ar-zukna ziyarat al-Hussain (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x3 Us jaga pe rakhenge hum apni jabin Choom ke khaak ko hoga humko yaqin Ye wohi khaak hai, ye wohi sar zamin Mere aqa hussain ab hume do sada, ya shahe karbala (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2 Jis jaga pe gira tha tera bawafa Akhri saans mei jisne di ye sada Is jaga se hatawo na lasha mera Humko hai dekhna, wo lab-e al qama (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2 Jis zameen pe para tera karyal jawaa(n) Khaake apne jigar me wo haaye sinaa(n) Tumko akbar ka hum dege pursa wahaa(n) Aur wahaa(n) har gari, ham karege aza (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2 Nanna saw o gala jis jaga chhidgaya Aur tha uska khun tere mu(n) pe mala Suwe khayma khari, maa(n) ne di ye sada Paani ka ghunt bhi kya mayyasar huwa (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2 Bepisar maon ko, maula dede pisar Jiske dil mei dua hai wo maqbool kar Hai ye sabko yaqee(n), hai ye sabko khabar Tu hai mushkil kusha, tu hai hajat rawaa (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2 Maula Abid ka hai, aapko wasta Ladawa jo mareez, hai unhe de shifa Humko hai asra, har gardi aapka Aapka naam hi hai bara mojeza (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2 Tere roze pe jab jayengi ye nazar Ashk behta rahenga tere naam par Roenge kehke ye, dil ko hum thaam kar Humko hai ye yaqin khuld hai karbala (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2 Aake dekhenge hum maula tera mazaar Lab pe us pal tejani ki hogi pukaar Hochuka hai tamam maula ab intizaar Ab yahan chaho to, dedo humko qaza (Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2