لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

ZARA DEKHO

Shabbir and Abbas Tejani2012
ShiaNohaLyrics
ZARA DEKHO Zainab, haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Zara dekho to ay mere nana, Na rahe mere bete na bhayya , Sara kunba luta ke mei aayi Apni qismat sunaane ko aayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Khushk kuze liye pyaase bache , Al- atash ki sada leke aaye , Baandh kar mashk ko ik alam se, Ghazi beteygh maqtal mei aaye Unki quwwat thi kuze ke andar , behgaya mashk se teer khaakar Sogaya dono bazu kataake , degaya wo bhi daagh -e- judaayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Ibn -e- sheyr -e- khuda sa dilaawar , koi tareekh mei hai na aisa Jo tha bibi ke parde ka zamin , apne bazu kata ke wo soya Uske marne se ay mere nana, hogayi bibiyaa ( n) sar barehna Sani -e- fatemah ka khula sar , dekhti thi haaye sab khudayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Meri amma ki tarha bhi haaye , do hi bte the bas paas mere Misl -e- zahra bhi karbobala mei , dediya unko dee ( n) ko bachaane Aaye anbaar zalim ke lashkar , ghayra aun -o- muhammad ko aakar Har taraf se huwa haaye hamla , Hogaye wo bhi sheh pe fidaayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Nana us waqt me margayi thi , pohnchi darbaar ke jab me dar par Takht se puchha zalim batawo , tum me se kon hai binte haidar boli abbas ki hu (n) me khahar , lot jawungi tujhko mitaakar , baap ke lehje me deke khutba , mene zalim ki masnad hilayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Har qadam raah -e- shaam aur kufa , na aziyyat ki koi kami thi . Har qadam pe thi pathar ki barish , nehr -e- khu ( n) jism se beh rahi thi Yaad hai ke yahi mene socha , us ghari jab mera sar jhuka tha Kal thi kufe ki mei shaahzaadi , Aaj qaydi hu mei banke aayi , Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Haaye Shabbir ki dil ki dharkan , meri mazloom pyaari Sakina Uske honto ( n) pe bas tha ye nawha , jabse bichra tha baba ka seena Mere ammu kahaa ( n) ho bachaalo , Mujhko aake shimar se chupalo Hai tamacho ( n) se ruksaar neele , Aur Rasan mei bandhi hai kalaayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Dil mera gham se phat'ta hai nana, yaad mei aati hai jab Sakina Taziyaanei ( n) jo khaati thi din bhar , roti thi yaad karke madina Bichri zindaa ( n) mei bhaayi ki dukhtar , khu (n) mei tar wo janaza uthaakar Kaampte haatho ( n) se mene nana, eik nanni si turbat banayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Waqt -e- akhir tha baba ka nawha , akhri sajda mei kar na paaya Aur masjid ke mimbar se haaye , na huwa khatm wo shakshakiyyah Reyt par us tamanna ki khatir , kiya bhaayi ne sajda -e- akhir Aur darbaar mei banke haider , teygh khutbo ( n) ki aisi chalaayi Zainab , haaye zainab , haaye zainab , haaye zainab Kya likhe aur gham ki kahani , jab jigar kaampta hai Tejani Haaye Zainab ne roke dikhaya , taziyaa ( n) aur rassan ke nishani Roke kehne lage phir ye ahmed , hogayi tumpe har gham ki ik had Mei na seh pawuga aur beti , ab na do haaye zainab duhaayi