لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

ABBAS BACHAWO

Shabbir and Abbas Tejani2013
ShiaNohaLyrics
ABBAS BACHAWO Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 1. Sab jal gaye hai khayme hamare Aur dhalgaya suraj hai andhera Sab bibiyan chillati hai ban mei Neze se rida chhinte hai adaa Kisko mei pukaru ay baradar Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 2. Bikhre huwe hai aale muhammed Mei dhundhti hun usko kahan hai Sholo mei hai duba huwa khayma Sajjad mera ghash mei wahan hai Kaise mei nikalun usse jakar Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 3. Mei lutgayi hu (n) ay mere bhayya Koyi nahi mei rehgayi tanha Bhayi ka kabhi bte ka lasha Kis ka mene lasha nahi dekha Barbad huwa mera bhara ghar Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 4. Kya sunte ho ay mere baradar Lab pe jo Sakina ka hai nawha Daman bhi jhala hai aur gohar Zalim ne mere kaano ( n) se cheena Khaati hu tamachei ( n) haaye mu(n) par Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 5. Ashko (n) se hai ye aankhei (n) mere nam Sailaab hai dil sehke sabhi gham Mei kise liye ashk bahawu ( n) Kis kis ka karu ( n) jaa ke mei matam Laashei ( n) mene dekhi hai bahattar Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 6. Sehme gaye hai chhote se bache Sab bibiyaan khamosh hai beythi Sab ke liye banker mei sahara Pehre pe mei ayi hu ( n) akeli Tuti huwi barchi ko pakar kar Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 7. Milne ko mujhe aya hai baba Kya guzri hai mei kaise batau ( n) Sab daaghe jigar se kahi barhkar Sharminda hun mun kaise dikhau ( n) Chadar jo nahi hai mere sar par Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar 8. Karbal se chale sham ke janib Kis haal mei Sajjad muhari Gardan mei bandha tok salasil Pawo ( n) mei the jakde haaye beri Tha bas yahi bimaar ke lab par Abbas bachawo mujhe aakar 9. Raste mei jo ayi ho rukawat Mushkil jo kabhi hamko hai ayi Hote hai pareshaniyaan sab hal Hamara aqeeda hai Tejani Jab bhi ho sada apni zabaa ( n) par Abbas bachawo mujhe aakar Zainab ye sada deti thi rokar Abbas bachawo mujhe aakar