لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Asghar ke janaze ko

Shabhi Gopalpuri2018
ShiaNohaLyrics
Asghar ke janze ko, haatho pe liye sarwar ... Asghar ke janaze ko haathon pe liye sarwar, Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Ek dard kaelje me, ek aayat hoton par Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Muhsin ki shahadat ka ghum taaza hota hai chey maah ke bacche kaa, haathon pe janaaz hai Qaabu me nahi aata sarwar ka dile muztar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Islam ki nusrat ko wo ran me chala aaya Us nanhi si gardan par, woh teer e sitam khaaya Besheer ke hansne kaa, aankho me liey manzar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Maqtal me qayamt ki ek woh bhi ghadi aayi Shabbir ki ghurbat me, Allah re tanhaayi Shish maahe mujaahid kaa, chehre pe lahu mal kar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Maa dekh le bete ko, ye soch ke bardhte hai Kis tarha se dekhegi, ye keh ke palatte hai Shabbir ke seenay me, barpa hai ajab mehshar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Aey laal kahunga kya puchegi agar maadar Maqtal me sitamgar ne kya zulm kiya tujh par Ye soch ke maqtal se, khaime ki taraf sarwar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Ehsaas ye sarwar ko, badhne hi nahi deta chey maah ke bacche par yu zulm nahi hota Hona hai sare khaima, barpa abhi ek mehshar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Haatho pe janaaza hai khaime ka iraada hai Tuti hai kamar sheh ki aankho me andhera hai Karte hai kabhi girya lagti hai kabhi thokar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Chey maah ka woh baccha, thaa khusk gala jiska Paani ke evaz jiska, zaalim ne gala chedaa Khud apne lahu me tar, godi me hai wo dilbar Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Jalti hui reti me, kis tarha chupaunga Is chaand si surat ko, kaise dafnaunga Ye sochke lagti hai, ek chot kaleje par Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2 Mazlumiey sarwar ko, kya koi likhe asghar Khu sab ko rulata hai, aashur ka woh manzar Ek laasha haatho par, sau zakhm liey dil par Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2