لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Masoom Sakina Pe Jafaon Pe Jafa Hai

Shabih Abbas Arfi2010
ShiaNohaLyrics
YAZEED TAKHT PE THA AUR BANDHE THE AHLE HARAM RAKHA THA TASHT ME NICHE SARE IMAME GAM kaha sakina ka zalim ne dekha chehra suna hai tumko bahut chahte the shahe huda agar yeh sach hai toh yeh sar bulaae bacchi mujhe bhi apne ho ulfat ka ai bacchi chadi se kehke yeh sar posh usne khol diya yazeed nehesta sunkar kalam sakina ka sar tasht me baba ka sakina ne jo dekha chillaai meri gaud me aa jaiye baba darbaar me leta hai yazeed imtehaan mera yeh sunke sare shahe huda tha ishk se uthta sar gaud me pahucha jo sakina ke pidar ka kya mujhse bayaan haal ho us chaak jigar kaa maasum sakina pe jafaao pe jafaa hai bachi ne rukhe shah pe sar rakh diya ek baar boli ke khabar bhi hai tumhe sayyade abrar baad aapke toh aur bhi jeena hua dushwar maare hai mujhe tamache zalim ne kai baar bunde bhi mere cheen liye hai shimre laaen ne har maud pe hame tadpaya hai dushmane deen ne hum ek rasan me hai gale 12 hamare baba mai khadi hoti hu panjo ke sahare baithe hue jo darabar me makkar hai saare karta hai yazid apne gulaamo se ishaare apno se yazid aaj mujhe aaj leta hai baba ramla ki kanizi me mujhe deta hai baba baba mujhe ramla ki kanizi se bachao baba mujhe ada ki nigaho se chupao aafat hai mere sar pe is aafat se chudao baba kaho abbas chacha se ke ab aao beti ki khushhi ke liye hakime badkar hakif hai mai saidani hu fir b hai talabgaar baba mujhe manzuur hai zindan me jana manzur hai din raat tamache mujhe khana baba mujhe manzur hai har ranj uthana manzur nai gairo me lamho ka bitana apno me toh dukh me b suku paugi baba apno se agar chut gai mar jaugi baba yeh sun ke sare shahe madina hua goya beti yeh samajle ke hai imtehan tera khau ha hare purkar se lazim hai guzarna mai tujhse nai dur hu tu jaan le itna mai tujhse juda hoke kaha jauga beti lene ke liye zindan me fir aauga beti beti se abhi hoti thi baat ki guftar darbar me yu gunji utha hukme sitamgaar in kaidio ko firse firakar sare bazar zinda ke andhero ka karo sakt sazawaar har roz tadapti hu mazalim ho jafa ho saya ho na bistar ho na aab aur na giza ho gar inme koi rota rahe shor machakar darogae zindan ko haq hai ke woh jakar uchlakar andhere me use daalde jakar yu rakhe aseero ki woh aaho ko dabakar yeh roye jo ghut ghut ke toh gam mujhko na hoga mar jaae toh ehsase sitam mujhko na hoga is hukm ko sunte hi sitamgar ke sitamgar sab qaidio ko leke gae qaid ke andar yad aaye sakina ko zyada hi ke sarwar yu royi ke neend aa hi gai khak ke upar khwab aaya toh shabbir hue khwab me zahir us khwab ki taabeer me maut aa gai aakhir kya kam the sare karbobala daage judai lo sham ke zindan me yeh aafat nai aayi sab aurte hai sayade sajjad hai tanha bimar hai aur tauko salasil me hai jakda jaez nai aurat jo uthaye koi lasha rone ke siwa ahle haram ho rae hai rikka mumtaz woh aise sitam sochta jafar larza hai kala likhke sakina ki jafa par