لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sughra se mila do

Shabih Abbas Jafri2012
ShiaNohaLyrics
Sughra se mila do..(2) Beemar behan ka mujhe, chehra hi dikha do baba, baba, sughra se mila do Sughra se mila do..(4) 1. Ye baat hai sadd gham ki ghata chhayi hai mujhpar phal barchi ka toota hai mere seene ke andar aye baba na bach payega ab aapka akbar beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do 2. Aata hai mujhe yaad madine ka wo manzar mai aaunga aaya tha ye beemar se keh kar ab kehna hai jaa karta hai ye tera baradar beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do 3. Kya haal hai bhai ki judaai mein bahan ka hai kaun khabar geer khudai mein bahan ka maloom hai dil rehta hai bhai mein bahan ka beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do 4. Majboor hai maghmoom hai beemaar hai baba sughra bhare kunbe ki azadaar hai baba wo meri mohabbat mein giraftaar hai baba beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do 5. Kya uspa guzarti hai bata dijiye mujhko surat meri khwahar ki dikha dijiye mujhko mumkin ho to aawaaz suna dijiye mujhko beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do 6. Tum aye labe dam jaan to ab khota hu baba mai maut ki aaghosh mein ab sota hu baba lekin mai pareshaan bohot hota hu baba beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do 7. Do ungliya sheh ne jo uthayi sare maidaa'n hamsheer nazar aayi madine me pareshaan sarwar ne kaha ab nahi kehna ye meri jaan beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do 8. Akbar ke sharal dilpa yaka yak huwa sadma rukne lagi saas aur mutaghayyar hua chehra karte hue band aankh kaha ab na kahunga beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do