لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

De raha hai yeh gawahi

Shabih Abbas Jafri2014
ShiaNohaLyrics
De raha hai yeh gawahi har shaheed e karbala ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali iss sada se gunjti hai saari maqtal ki fiza ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 1. Jab sahar aashur ki ubhri saji karbobala naam mehzar me bahattar ka tha likhha ja chuka khoon se maqtal me yeh tehreer sabne kar diya ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 2. Saare ansaar e husain paikar e azm o wafa ishq e haider se tha dil labrez har ek fard ka naam e haider leke sab sarwar pe hote the fida ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 3. Bar sar e maqtal jo aaya murtuza ka ladla teen din ki pyaas thi jalta hua dasht e bala par jari ki tegh jo uthhi to uthhi yeh sada ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 4. Zeen se aaye zamee pe sarwar e zeeshan jab dilme jiske ho ali woh maut se ghabraye kab kehke yeh khanjar tale shabbir ne sajda kiya ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 5. Baad e sarwar jab haram pe chha gayi shaam e alam azm e sarwar dil me tha zainab ka tha jazba na kam haath me ghazi ka parcham aur labo pe bus raha ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 6. Jab aseero ne safar bazaar ka tay kar liya shaam ke darbaar me aayi jo binte sayyeda lehja e haider me zainab ne yehi khutba diya ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 7. Koi majlis ho juloos e gham ho ya farsh e wila inki zeenat ka sabab to hai ali ka tazkeera de rahe hai ye sadayein isliye ahle aza ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali 8. Ishq e haider ishq e sarwar se hai yeh saari ataa ab kalam "salman" ruk sakta nahi hai yeh mera asl me yehi shahadat hai aqeede ki baqa ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali ali ya ali, husain ya husain husain ya husain, ali ya ali de raha hai yeh gawahi har shaheed e karbala ash hado anna aliyun hujjatullah ya ali..(2)