لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ali nemal waliyullah

Shabih Abbas Jafri2016
ShiaNohaLyrics
Ali ne'mal waliyullah..(4) azaa'n akbar ki jo gunji allahu akbar..(4) azaa'n akbar ki jo gunji mayane karbala gunja Ali ne'mal waliyullah..(4) Bahattar ne kaha ye bayn, sare maqtal sare sajda Ali ne'mal waliyullah..(4) 1. Ali akbar ke hoto'n par sada allahu akbar ki labo'n par bhi mohammad ki nabuwat ki gawahi thi ali ya ali..(4) ye kehkar qaid sadyo mein kiya akbar ne ek lamha Ali ne'mal waliyullah..(4) 2. Ye lamha badhte badhte asr tak phaila sare maqtal bana gulshan ali ke khoon ki khushboo se wo jangal ali ya ali..(4) ali ke phool jo bikhre pukara dasht wo sehra Ali ne'mal waliyullah..(4) 3. Wo jab aun o mohammad ne wigha ka izn hai paaya tha jo maidan ka manzar wohi raavi ne hai likha ali ya ali..(4) laga ke hamza o jafar ne yeh kehkar kiya hamla Ali ne'mal waliyullah..(4) 4. Badha jab janib e darya ali ka bawafa beta falak tharra gaya abbas ki dehshat se rann kaapa ali ya ali..(4) yehi kehte hue maidan ka naqsha badal daala Ali ne'mal waliyullah..(4) 5. Ali asghar ne jhule se kaha labbaik halmin par ijazat de mujhe amma palat dunga safe lashkar ali ya ali..(4) mayane jung hoto'n pe har ek jumbish pe ye ubhra Ali ne'mal waliyullah..(4) 6. Hussain aaye to maida'n me bapa ek shor e mehshar tha hussain ibn e ali ke waar se satte mein lashkar tha ali ya ali..(4) udoo ko kaat kar tha yu ali ki tegh ka naara Ali ne'mal waliyullah..(4) 7. Nahi thi dushmani koi kisi ko la ilaaha se na dushman ashkiya the ash-hado anna mohammad ke ali ya ali..(4) chale hai teer jaise kaha sarwar ne ye jumla Ali ne'mal waliyullah..(4) 8. Dhala ashoor ka suraj to phir shaame alam aayi ghazab hai abid e beemar ko zanjeer pehnayi ali ya ali..(4) ye ghurbat dekhke kehne laga jalta hua khaima Ali ne'mal waliyullah..(4) 9. Usi dasht e musibat mein kahi par kho gayi bachhi khabar ye jab mili to khwahar e shabbir ghabrai ali ya ali..(4) kaha zainab ne aaja madad ko aye mere baba Ali ne'mal waliyullah..(4) 10. Ye khud salmaan dekha maine shehr e shaam mein jaakar hui sadiya'n larazta hai magar darbaar ka har darr ali ya ali..(4) har ek deewar par naqsh zainab ka yahi khutba Ali ne'mal waliyullah..(4)