لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aliyun waliyullah

Shabih Abbas Jafri2018
ShiaNohaLyrics
Aliyun Waliullah..2 Ya Hussain Hussain ya Hussain...2 Qalb e rasool fatema zahra ka noor e ain Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain Jo iss se dur hai woh mohammad se dur hai.. Naam e hussain deen ke charagho'n ka noor hai.. Haan deen e mustafa ki yahi to hai zeb o zain.. Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain Aashur karbala me qayamat ka marhala.. Gardan pe shahe deen ki khanjer hai chal gaya.. Baad e hussain ahle haram kar rahe the bain.. Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain Zahra ka lal zeen se dharti pe jab gira.. Hilne lagi zameen falak thar thara gaya.. Hota tha khaimagaah e hussaini me shor o shain Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain Asghar bhi qatl ho gaya akbar nahi raha.. Zainab pukari ghazi bhi darya pe so gaya.. Tum chhodh ke na jao hame shahe mashraqain.. Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain Ek din me tune sadme bahattar uthaye hain.. Zahra pukari tune bohot zakhm khaye hain.. Maa aa gayi hai aayega ab tere dil ko chain Thama payaam e sabr ki tafseer ka alam.. Aulaad pe bhi teri ruke na kabhi sitam.. Rote hain jinko saamra baghdaad o kaazmain.. Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain Sar aap ka ALI ki wilayat me kat gaya.. Lekin burida sar bhi gawahi tha de raha.. Zohrain se gawahi rahi taa ba maghrabain.. Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain Zikr e hussain jaari hai "SALMAN AZMI".. marzi hai yeh khuda ki dua e batool bhi.. Khu'n baar jiske gham me hai qul ambiya ke nain.. Farzand e aliyunwaliullahh ya hussain