لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qatl e ali pe eid manate hai musalman

Shabih Abbas Jafri2018
ShiaNohaLyrics
Qatl e ali pe eid manate hain musalmaan Dil aal-e-payambar ka dukhate hain musalman 1. Khud Eid soghwaar hai manzar yeh dekh kar Kufe ki gali aise sajate hain musalman 2. Misl-e-shab-e-aashur shab-e-eid ho gayi.. naqsh e khuda ko haye mitate hain musalmaan 3. Kufe me jashn char su mahaul khushnuma.. sadaat ke gham yu'n bhi badhate hain musalman 4. Zainab hai muntazir ke ho pursaan e haal kaun Pursa kya tasalli ko na aate hain musalman 5. Zeher e dagha se chaak kiya jigar e hasan ko.. yu'n khoon mustafa ka bahate hain musalman 6. Paigham bhej bhej ke karbobala ki samt.. sarwar ko karne qatl bulate hain musalman 7. Akbar ka qatl hona mohammad ka qatl hai Tasweer-e-risalat bhi mitate hain musalma'n 8. Aati hai jab bhi EID 'SHABIH' gham manata hai Khushiya'n dhamaal jashn manate hain musalma'n