لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zainab Ko Ghazi Yaad Aya

Shadman Raza2006
ShiaNohaLyrics
Haye Bazaar-e-Shaam Jaakar Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Haye Bazaar-e-Shaam Jaakar Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Aankhon se khoon jari, Sar pe rida nahi thi Zakhmi haram ke dethe, Koi dawa nahi thi Jab duray lage badan par,(2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Sadat pa ba rehna, Katon bhare the raste Rote the jab ye qaidi, Bedard log hasthe Jab dekhi sina pe chadar,(2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Hamsheer Royi uspar, Taqdeer royi uspar Beemar jab bhi roya, Zanjeer royi uspar Hai ghalion pe barse pathar,(2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Jo margaye haya thi, Rahon me be rida thi Ye soch kar ye zainab, Bas mehre marsiya thi Hai sheeren ke ghar me jaakar (2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Is se badi qayamat, Kya aur hogi logon Abid ne apne sar ko, Kyun na uthaya socho Woh kehta tha bas ye rohkar(2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Abba ki behen par, Ek aisa waqt aaya Darbar me sitam ke, shimr-e-leyin pukara Hai kaun shah ki khwahar, (2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Nikli thi jab woh ghar se, manzaar woh yaad aaya Nazrein jhukao logon, Abbas ne kaha tha Ab shaam mei khule sar(2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Athara bhaiyon ki, Hamsheer aur khule sar Aye logon taras khao, Zainab ko dedo chadar Fiza jo boli rokar (2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Darbar mei gayi thi, Ek roz Fatima bhi Ek rida thi sar par, Beton se thi tassali Yaad aaya use ye manzaar, (2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3) Ghuziri jo bibiyon par, kya shadman sunaye Mazhar mera kaleja, Sadmo se phat na jaye Bas roko qalam ye kehkar (2) Zainab ko Ghazi Yaad Aya Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)