لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mera Abbas [Asma]

Shadman Raza2009
ShiaNohaLyrics
Mera Abbas [Asma] Ghururé fawdjé sitam ghar ko, tor sakta hun Rukhé furat, nigahon sey mor sakta hun Ali ka beta hun, mojiz numaion ki qassam Mein aftaab sey paani nitsor sakta hun Mera abass , Ghazi abass (4) 1. Maaniyé ruffaté Issaro vafa hai abass Jazbaé hossala é Shehré Khuda hai Abass Ruhé Ehsaas Rassoulé dosara hai Abass Yaani Allah ké maqsad ki baqaa hai Abass Rastaa rehbaré Islam ki ruqné na diya Kath gaya hath alam din ka jukné na diya Mera abass, Ghazi abass... 2. Mei jo ehjaz dikawun to yé naksha badlé Arsh pei Fasl Ughé Farsh pei suraj niklé Nehr sey Ghard urhé , sang sey tsachma phoothe aag paani mey lagué aag sey paani nikley ghur ké dekhun to toum sab bemamat ajaaé Mere tuté huwé neyzé pei furat aajaé mera abass, Ghazi abass.. 3. Meri Talwaar sey Jibril key par Kampté hai Meri hai bass sé sab ye jino bachar kampté hai tumko kya cheez ho cheron key jigar kampté hai Maut sey pehlé hi ajssam key sar kampté hai Meyné talwar jo ek baar chalayi hoti Sari dunya mein dohayi hi dohayi hoti Mera Abass, Ghazi abass.. 4.Jang siffen ka mahol dobara hojaé Khétslun tegh to dunya mein savera hojayé Alqamah ko jo mera ek ishara hojayé Khayma é shah hi darya ka kanara hojaé Khatm pyasson ki abhi tachnadahaani kardun Mein agar tsahun paharon ko bhi paani kardun Mera Abass, Ghazi abass.. 5. Huré maqtal ko ek ungli pei natsha sakta hun Tum jo marjao to thokar sey jila sakta hun Aag behté huwé paani mein lagaa sakta hun Tum ko ab ruh key ishaaré sey bhaga sakta hun Hath kathné pei bhi larné sey mein maazour nahin Hukmé Shabeer ka pabant hun majboor nahin Mera Abass, Ghazi abass.. 6.Han magar gardishé dohra ney yé manzar dekha Kath gayé baazué abass saré rahé wafaa Sar pei bhi gurz lagua ankh pei bhi tir laga as bhi tut gayi mashk sey paani jo baha Ho salam aap pei aka yé pukaré Abass Nehr sey jaané bhi firdos sidharé abass Mera Abass, Ghazi abass... 7.Jab suna nehr pei sakaé haram mara gaya Girgayi bibyon key sar sey ye sunté hi rida Bibi zaynab ki sada aaney lagui vavéla Ghir gaya dasté Sakina sey zamain par Kuza Boli yé ro key mujé as nahin hai ammu jald ajao key ab pyass nahin hai ammu Mera Abass, Ghazi abass... 8. Rokey Shabeer pukarey mere Bhayya Abass Mere ghamkhar mere ashiko sheda Abass Moujko paani to pilaado mein hun pyassa abass Mein Ghira jaata hun do mujko sahara abass Khaymaé Fatema Zehra key sipar tut gayi Hath bhayi key kathé meri kamar tut gayi...