لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ay Maa Bata

Shadman Raza2010
ShiaNohaLyrics
Ay maa bata guzre isi aza may hai sadiyon ke rath jagay jee khol kar hussain ko hum ro nahi sakay bachpan ka wo sawaal mujhe abhi yaad hai daman ko aansuon se bigho-tay hai kis tarah ay maa bata hussain ko rote hai kis tarha tune aza ke farsh pe mujhko bitha diya pani jo maanga maine to pani piladiya aagosh may aza ka saleekha bata diya godi may tune loriyan dekar sula diyaa zindan ki zameen pe sote hai kis tarha ay maa bata.... bachpan se humko tune hi zouqe aza diya taboot ko saja diya farshe aza bicha aansuon ko apni parchame ghazi se mas kiya aagosh may utha ke dikha-di hai karbala shaida aza e shah ke hote hai kis tarha ay maa bata.... saaye may baap ke hai guzarti meri hayaat hoti hai poore khwahishay ta hadde mumkenaat sunte tho hai hum shaam ke zindan ke waqiyat hum jaante nahi hai sakina ke mushkilat kehte jinhe yateem wo hote hai kis tarha ay maa bata.... haq pe lutayi saari kamayi hussain ne qurban haq pe kar diya bhai hussain ne deene khuda ki jaan bachayi hussain ne kadyal jawan ki laash uthayi hussain ne sare ghamo kodil may samote hai kis tarha ay maa bata.... maqtal may kab tha fatema zehra ke dil ko chain tha inteha-e-sabr pe zehra ka noore ain laashe pe har shaheed ke roke rahe thay bain asghar ki khabr khod ke rone lage hussain ashkon se khoon ke aankh bhigote hai kis tarha ay maa bata.... kurta jala huwa hai ye bachi ka haal hai kano se khoon behta  hai daman sawaal hai chehre ka saara rang tamachon se laal hai khamoshiya aansuon se sakina nidhaal hai noke mija pe ashq pirote hai kis tarha ay maa bata.... zikre ghame hussain may izzat naseeb ho haq baat sab se kehne ki jurrat naseeb ho daman ko apne ashqe nadamath naseeb ho hurr ki tarha hame bhi shahadat naseeb ho isyan ke daag aaj bhi dhote hai kis tarha ay maa bata.... ilmo amal may peshe nazar ho raza e rabb roza namaz har ke faraiz ada ho sab haq e imam ada ho ada ho namaze shab maa aakhri jihad ko taiyar karde ab nasir imam-e-asr ke hote hai kis taha ay maa bata.... aao qamar bataun ke rone ka haq hai kya jaari tha jaise ashke sakina ka silsila jaise imam-e-asr ki aankhein hai karbala rote hai aise jis tarha roti hai fatema maa ne kaha hussain ko rote hai is tarha ay maa bata....