لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bus itna batado

Shadman Raza2010
ShiaNohaLyrics
Jab qafila pohcha tha madine ke zara paas maqtal me hua kya ye suna usne basad yaas kat-ta tha jigar dil me nedamat ka tha ehsaas har ek se ye poochti thi madar e abbas jab gardan e shabbir pe..(2) khanjar wo rawan tha bas.. itna batado mera abbas kahan tha..(3) 1. Zehra ke pisar jane nabi sayyade wali akbar ke kaleje se sina kaise nikali jab khaak pe dum todta..(2) laila ka jawan tha bas... 2. Maidan me besheer ko jab laye the shabbir nanhe ali asghar ki jo gardan pe laga teer jab baap ke hathon pe..(2) pisar tashna dahan tha bas... 3. Aqa mera maidan me kyun rehgaya tanha haa doodh na bakhshungi mai ye kya kiya beta zehra ka pisar khaak pe..(2) jab girya kuna tha bas... 4. Jab bibiyan jalte huwe khaimo ke thi andar jab zainabe dilgir ki cheeni gayi chadar jab gardane beemar me..(2) wo tauqe gira tha bas... 5. Abid ko liye phirti thi jab zainab-e-muztar jab aag lagayi gayi cheena gaya bistar phaila huwa jab shame..(2) ghariban ka dhuan tha bas... 6. Jab shame ghariban me bhi pyase rahe bache jab dukhtare shabbir ke lagte the tamache jab uska jigar karbe..(2) yateeme se tapan tha bas... Zainab ne kaha usko wafa ka tha bahot paas jab zibha huwe bhai tho zindan na the abbas bin haton ke tha ghairate ilyaas ka laasha sahil pe tadapta raha abbas ka laasha 7. Ye sun ke kiya shukr magar phir bhi hai ehsaas ab tak ye qamar poochti hai madare abbas jab gardane shabbir pe..(2) khanjar wo rawan tha bas.. itna batado mera abbas kahan tha..(4)