لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai safeer-e-hussain hu

Shadman Raza2010
ShiaNohaLyrics
Safeer e Hussain *2 Muslim e Aqil hun Safeer e Hussain hun Baatil ka khauf e haq se kaleja laraz utha Bas ek sada se hakim e Koufa laraz utha Ehsas e qalb e haq hun zamir e Hussain hun Mein aashiq e Ali hun asseer e Hussain hun Zainab ka intekhab mushir e Hussain hun Pehchan lo mujhko mein Safeer e Hussain hun Mein Safeer e Hussain hun *9 Muslim e Aqil hun mein jaan le jahan Ashjaul Arab kahe zamin o aasmaan Hashmi wirassaton se azm hai jawan Haydari shujaa atein lahoon me hai rawan *2 Mein waqt ka hissar hun Mein noor ki bahaar hun Zamin ka ikhtetaar hun Falaq ka iftekhaar hun Mein ishq ka shear hun Wafa ka etebaar hun Dua ka ikhtayar hun Mein sheh ka jaan nisaar huuun Mein safeer e Hussain huuun Mein Safeer e Hussain hun *3 Etemaad rakhta hai Ali ka Noor e Ayn Ki mujhe Imam ne sipaaraton ki zayn Sar pe hai mere duaa e Shah e Mashraqayn Mein akela zaat me hun lashkar e Hussain *2 Mein hosle ki jast hun Wafa e haq parast hun Mae wila se mast hun Mein deen ka bandobast huuun Mein etebaar e hast hun Mein har hissar e dast hun Mein Koufa e zamir me Yazid ki shekast hun Mein safeer e Hussain hun Mein Safeer e Hussain hun *3 Yeh gulaam e Shah deen e haq bataaega Sheh ka sath dega joh falah paaega Jang karega mujhse joh maat khaaega Tegh se meri na koi bachke jaaega *2 Mein daur e inqelaab hun Mein tegh ka shabab hun Mein nusraton ka khwab hun Mein khoon ka hissab hun Mein ilm ki kitab hun Mein jehl par azab hun Hussain ki hassin sifaaraton ka intekhab hun Mein safeer e Hussain hun Mein Safeer e Hussain hun *3 Aa raha hun chum kar qadam Imam ka Haat me baland hai alam Imam ka Leke aa raha hun main bharam Imam ka Koufiyon pata hai tumko gham Imam ka *2 Zindagi hai tashna kaam din ka kab hai ehteram Qatl o khoon hai aaj aam Mushkilon me hai Imaam Tchor kar wafa awaam Khwahishon ki hai ghulam Joh bhi hai mera kalaam Hai Hussain ka payaam Mein safeer e Hussain hun Mein Safeer e Hussain hun *3 Gaybat e Imam me ho aisa intezaar Ilm par yaqeen ho amal pe etebaar Naassiraan e haq ka phir se hona hai shumar Muntakhib safeer hoga kaun ab ki baar *2 Agar ho sawm aur salat Hajj o khums aur zakat Amr aur nahi ki deen e haq me sari mumkinaaat Ho Hussain hi Hussain Bhul jaaen apni zaat Ilm pe yun amal kare To keh saken ham yeh baaat Mein safeer e Hussain huuun Mein Safeer e Hussain hun *3 Muslim e gharib ne kiiya hai jab kalam Marte dam nassib ho ziyarat e Imam Karbala uthi kiya hawaon par qayaam Dekh kar Hussain kar kaha hai as salam As salamo alayka ya Aba Abdillah As salamo alayka yabna Rassulillah Tchur tchur jism hai jigar hai paash paash Hai kahan pisar mere kahan karun talaash Qatl kar ke le tchale hain mujhko madgumaash Maut ke bhi baad hai safar me meri laash Mein Safeer e Hussain hun *3 Nazim aur Razi ki tarz sab se hai juda Jaffar aur Bakhsh Bhay aur Ali Ziya Javedaan hai lehja ab bhi Sach bhayi ka Ham hai tifl e maktab aur yeh asaatza *2 Yeh hai aza ka kaarvaan Yeh hai lehen ki kekkeshaan Yeh lehja o khayal me gham e hussain ki azaan Yeh Karbala ki dastaan Yeh zikr sheh ka sayebaan Azim hai joh nawhakhwan unhi ka hun mein tarjumaan Mein Safeer e Hussain huuun Mein Safeer e Hussain hun *3 Rizwaan Farhaan sab hi hain nawha gar Nassir o Shujah aur Ali Safdar Shadmaan Shahid o Nadeem Sarwar Sab ke sab ki eik hi sada hai yeh Qamar *2 Mein hun aza ke pakhsh par Mein hun dilon ke arsh par Mein majlisson me nawha gar Majliss aur Julus me hun jalwa gar Gali gali nagar nagar Mein aansuon ka hamsafar Mein puri qayenat me Hussain ka payaambar Mein safeer e Hussain hun