لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sultaan an Nassira

Shadman Raza2010
ShiaNohaLyrics
Sultaan an Nassira Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ye wassila wo hai jisko nahi rad karta hai x2 Ya Ali kehte hi Allah madad karta hai Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x3 Ai mere Maula mere pehle Imaam Ali Ali Tumpe hazaron ho durud o salaam Ali Ali Teri sanaa karta hun main subho sham hai teri khidmat me ye tera ghulaam Arsh talaq phul ki khushbuh gayi bus yehi kehti hai tchaman ki kali Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Tou hai Hussein ibne Ali ka pedar Ali Ali Hai Hassan e Mujtaba tera Pissar Ali Ali Aisa hai Abbas tera Shere narij janta teri tarah har hounar Tegh jo maidaan me ouski tchali Bus yehi har samt sadaa ghunjh outhi Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Tujko sabhi kehte hain Mushkil Kusha Ali Ali Rudda kusha kehte hain Khairul Wara Ali Ali Sakht se bhi sakht huwa maar ka Fath na Khaibar jo kissi se huwa Bus ye sadaa deta tha mera Nabi Jald tchale aao Khuda ke wali Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Jino inso malako hour ka masjouud Ali Qibla e ehle wila Qaba e maqsood Ali Mazhare noor e Khuda qudrat e Mabood Ali Ankh jab hone lagi bandh to maujood Ali Zeest ke shehr me daakhil huwe marnaa kaisa x2 Jab hai baaleef-e-Ali maut se darna kaisa Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Kuch inhe inke maraatib se sivah kehte hain Kay nazar hai woh nussehri jo Khuda kehte hain Yeh Wassila woh hai jiss ko nahi rad karta hai Ya Ali kehte hi Allah madad karta hai Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Jisko Khuda ne ye diya martabaa Ali Ali Jisko sahaabaa ne bhi Maula kahaa Jisko Wali kehti hai wahye Khuda aal par ouski huwi kya kya jafaa Karbobala me gayi aale Nabi Dasht me har samt sadaa ghunj outhi Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Sheh jab outhaane lague laashe javaan Mann ki dil e Sheh pe ghiri bijliyaan Zauf ke aalam me padar do fugha Laash outhaane lague Shaahe zaman Souu e Najaf dekh ke bole yehi Ayi ye imdaad ko Baba Ali Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Shaame ghariban jo ayaan ho gayi Masnade sarkaar e do aalam jali Zainab o Qulsoom ki haalat ye thi Sar pe na maqna tha na tchaadar rahi Pehr pe Ghaazi ki behen aa gayi Roke ye kehti rahi Binte Ali Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Beti jo deti thi Padar ko sadaa Dekha ke ek naaqa sawaar aa gaya Rukse naqaabat me oulath kar kaha Beti na ro aa gaya baba tera Baba ke tab sineh se Zainab lagui Aur lipath kar yehi kehti rahi Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2 Sab ko sunado yehi Maajid bayan Tum bhi yehi nawha paro Shadman Luth gaya jab fatéma ka gul sita Hur ko baraabar hai bahanr aur khiza Chahé khushi ho ké mussibat koyi Hum to sadaa kehté rahengué yehi Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2