لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tarap ke kehte hai Sajjad

Shadman Raza2010
ShiaNohaLyrics
Tarap Ke Kehtay Haaaay Arsa e hashr me jis waqt ke aaengi Batool Keh ke farzando ka gham sabko rolaengui Batool Lab pe mazkoor shahadat ka hilaaeingi Batool Arsh ke paae ko ro ro ke hilaaeingi Batool Ous ghari sharm se moou pher na lena zaalim Khoon baha Fatema Zehra ko tou dena zalim Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo x3 Woh mera Baba jisse Fatema ne paala tha Nabi ka Noor e nazar din ka oujala tha Na ouski laash ko koyi outhaane waala tha Main outh na sakta tha aur samne parhi thi laash Sina ki nok pe sar tha tarap rahi thi laash Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Tchatchaa ke sadme ne baba ki torh di thi kamar Jawaan ki laash par ponhtche the gutniyon tchal kar Outhaa ke laae the kandhe pe laashae Akbar Kahaa ye Bano se jaan se guzar gaye Akbar Nikali ham ne jo bartchi to mar gaye Akbar Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Har ek ankh lahoo se bhigo gaye Qassim Tchale jo ghore to tampo me kho gaye Qassim Ke zindagi me hi paamaal ho gaye Qassim Ragarte geriyan Qassim ka kyta sila dega Har ek laash ke toukre ke badle kya dega Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Kahaa jalaal me Zainab ne ouski ye jourrat Kaho ye ousse ke kya dega woh hame daulat Tum ousse putchho ke Abbas ki hai kya Qimat Ye jo lahoo bhare gessou hai inka kya dega Yeh jo kate huwe baazu hai inka kya dega Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Koyi bataae ousse kya hai Ambiya ka Hussein Pissar Rasool ka aur kya hai Murtouza ka Hussein Teen roz ka pyassa hai Fatemah ka Hussein Nahi pataa dil e Fatemah ke tchain ki qimat Khuda se puchh le kya hai Hussein ki qimat Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Juda badan se tha sar aur kaleja paash Pari thi ghoron se paamaal tez dhup me laash Yahaan talaash rida ki wahan kafan ki talaash Tchupaa lun badle ke armaan ko main Phuphi Amma Bhulaa doon Shaame Ghariban ko main Phuphi Amma Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Ajab hai haal Sakina ka maa ko sakta hai Rassan gale me hai sine me dam ataktaa hai Larazte ashk hai kaanon ke khoon tapakta hai Gohar jo kaanon se tchine the inka kya dega Tamaatche isne jo khaae hai inka kya dega Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Phiraayi jaati thi galiyon me Itrate Athaar Rida saron pe na thi aur majmae agyaar Bhula doon kaise main beta woh Shaam ka bazaar Baataae karbe yateema ki kya jazaa dega Sina ki nok se khentsi rida ka kya dega Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2 Qamar Robab ko maaloom hai Saghir ki pyaas Hai tchai mahine ke batchhe ke zakhm ka ehsaas Tchupaae rakhti hai jhule ki lakriyan ye paas Kaho Yazid se Beshir ki khataa kya hai Ke tchai mahine ke batchhe ka khoon bahaa kya hai Tarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2