لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Marsiya Imam Zamana

Shadman Raza2012
ShiaNohaLyrics
ha ek aayenaa shabe ashoor tha wo maqtal kaa hussain ne jo bataya hilaal ne dekha ye hai imam e zamaana ki ghaibate kubra ye farz kijiye lekar hame chale maula wahaan hussain zameen par jagaa bataate hain yahaan imam ye manzar hame dikhaate hain 1. Padi hui hai ye laashen lahu hai ab bhi rawaan wo mera hurr e jari qatl hogaya mehmaan jo karbala ke the ansaar de chuke hain jaan dilon ko thaam lo logo to kuch karu mein bayaan laraztaa ab bhi tane paash paash hai dekho ye hai jo gathri ye qaasim ki laash hai dekho..(3) 2. Lahu me dubi huwi hai shabihe payghambar jawaan ki laash pe girya kunaa hai har maadar pisar ke seene se barchhi nikaal ni thi magar na band ho sakaa wo zakhme sinaye akbar dua karo ke ye ghaybat meri simat jaaye ye zakhm dekh ke mera jigar na phat jaaye..(3) 3. Har ek dukh meri ghaybat ki kaayenaat me hai ye karbala jo bapaa hai ye meri zaat me hai mein ro raha hun meri zulfiqaar saath me hai gale me teer hai asghar ki laash haath me hai bahot qarib se mein shor o shein sunta hun mein ab bhi maadare asghar ke bayn sunta hun..(3) 4. Lahu me dubi meri qaayenaat hai logo jigar hai sokhta tashna hayaat hai logo taweel ghaybate kubra ki raat hai logo har ek shahid ki maa mere saath hai logo har ek god hai khaali zahoor kab hoga har ek maa hai sawaali zahoor kab hoga..(3) 5. Imam khaimaye ghaybat me ho gaye hain aseer chidi huwi hai sina se rasool ki taswir wo laashe qasim o abbas hai ye laashe saghir har ek laash yahaan aake rakh gaye shabbir are bachaa hi kaun tha maqtal se koyi aa na sakaa mere hussain ka laasha koi utha na sakaa..(3) 6. Imam qatl huwe naasiron ko bhi khoya na waqt ne kabhi is mere zakhm ko dhoya na ek pal mein kisi raat chain se soya hazaar saal mein chautees(34) saal ko roya ye qaid khaane ka rastaa bur kab hoga sakina putch rahi hai zahoor kab hoga..(3) 7. Hai mere zehn me wo qarb e aabide bimaar khule saron ki aziyat wo shaam ka baazaar agar che paas mere hai hussain ki talwaar qamar me kya karun lashkar mera nahi tayyaar ab inteqaam ka sab inhesaar tum par hai mere zahoor ka daar o madaar tum par hai