لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aap ne hazrat e mukhtaar

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
Haay.. Jab koi qatile shabbir giraftaar hua ye khabar sunke koi khidmate maula me gaya ashk barsate hue abid e muztar ne kaha tune badla liya mukhtaar hai ehsaa tera qalbe zehra ke har ek zakhm pe marham rakha aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(4) 1. Aap ke hausle kar dete hai qaumo ko jawaa..(2) aap ke khoon me haider ki mohabbat thi rawaa..(2) aap ke hubb me imraan ka jazba tha ayaa aapke josh pe nazaa hai bohot karbobala aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 2. Aag jo dil me hai us aag ka darya kya hai..(2) ek maula ke azadaar ka jazba kya hai..(2) inteqam e ali asghar ka takazaa kya hai aap ke khoon me tha josh abu talib ka aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 3. Aap ko aal e payambar ka tha kitna ehsaas..(2) bhool paye na kabhi aap sakina ki pyaas..(2) pani pite hue thi ek sada ya abbas aap ne daste burida ka liya tha badla aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 4. Rajat e jism e murattab hai wo manzar kya hai..(2) hujjat e asr ki azmat ka samandar kya hai..(2) jiske lashkar me ali honge wo lashkar kya hai wo sadi aaegi mukhtaar the jiska lamha aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 5. Zulm ke daur me mazloom ki taqat mukhtaar..(2) jabr ke saamne inkaar ki himmat mukhtaar..(2) hashr tak dil pe yazido ke hai haibat mukhtaar aap ne laakho jigar chaak kiye hai tanha aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 6. Roz hote hai yaha kitne azadar shaheed..(2) faisla karliya ab zulm nahi sehne mazeed..(2) kaat kar rakhdo azadaar zara nasle yazeed aapke josh se milta hai hame bhi jazba aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 7. Ye to Allah ki nemat hai shahadat lelo..(2) ashk e shabbir se talwaar ki taqat lelo..(2) mat daro hazrat e mukhtaar se himmat lelo daad deti hai inhe roohe shahe karbobala aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 8. Baqi rehta hai abhi jauro jafa ka badla..(2) nauke naiza se chini ek rida ka badla..(2) apni had me jo liya karbobala ka badla inteqam asl me baqi hai abhi waris ka aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2) 9. Ae qamar sog badha chayn dilo ne paya..(2) saamne aap ke jis dum sare hurmal aaya..(2) zere lab jis tarah sajjad ne wo farmaya aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)