لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas beta marhaba

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
abbas ya abbas..(4) ya abbas ya abbas ya abbas kehti hai rann me, kehti hai rann me fatima abbas beta marhaba..(3) 1. Tu ishq ki meraaj hai..(2) sar par wafa ka taaj hai..(2) sabit ye tune kar diya darya pe tera raaj hai chullu me leli..(2) alqama abbas beta marhaba..(3) 2. Aale nabi ki aas hai..(2) imraan ka aqqaas hai..(2) teri talab darya nahi darya ko teri pyaas hai saqqa hai aale..(2) mustafa abbas beta marhaba..(3) 3. Tujhse zabar bhi zer hai..(2) tashna labi se ser hai..(2) haibat hai shero par teri tu shere haq ka sher hai shamsheer e shah..(2) karbala abbas beta marhaba..(3) 4. Ajdaad ki pehchaan hai..(2) binte ali ka maan hai..(2) bachpan se lekar aajtak shabbir par qurbaan hai qurbaan tujhpar hai..(2) wafa 5. Tere shano pe qurbaan jau aaja seene se apne lagau tujhko shabbir jaisa samajhkar apne hatho se pani pilau darya se pyasa aagaya abbas beta marhaba..(3) 6. Tha ye mehzar me abbas likha tashnalab hi rahegi sakina gham na kar mashk gar chid gai hai tujhse raazi hai shahe madina tune ada haq kar diya abbas beta marhaba..(3) 7.Jo mahafiz the ale nabi ke kat gae haay bazu wo tere aaj se hashr tak dee ka parcham tu uthaega bin bazuo ke ab ye alam..(2) tera hua abbas beta marhaba..(3) 8. Jo takallum hai eemaan tera shadmaa ka wohi hai aqeeda roza e ibne shere khuda par dil ye kehta hai ehle aza ka ek maa ki aati hai sada abbas beta marhaba..(3)