لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abhi tak shaam ke zindaan

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
haay.. janaza jiska chhupaye the shab ki tareeki damishq me ye usi fatima ki hai beti na kal to shaam me parda bacha saka tha koi dukhi husain ki maa keh rahi hai ya mehdi dua ko haath uthae hai maadar e zainab bachae roze ko roza hai chadar e zainab saro ko dhaanp kar aao..(2) tumhe zainab bulati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2) 1. Batate hai ye raste jo abhi tak khoo me doobe hai yaha se sayyad e sajjad zanjeero me guzre hai tamacho se sakina ko kabhi zainab bachati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2) 2. Kahi durro ki barish hai kahi hai maarte pathar zami kyu phat nahi jati tamashe ko khule hai ghar kabhi baalo se zainab apne chehre ko chupati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2) 3. Na khud hai zainab e nachar bhi us ek rassi me bandhe hai abid e beemar bhi is ek rassi me sakina kis tarha panjo ke bal par chal ke jati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2) 4. Bohot rote hai abid dekhkar ye halat e zainab ke aisa imtehaa nabiyo se bhi leta nahi ya rabb imamat sar jhuka kar khoon ke aansu bahati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2) 5. Khudaya hai yahi mushkil kusha e waqt ki poti ye saara shaam kehta hai sakina chup nahi hoti lahu kano se behta hai tamache muh pe khati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2) 6. Khuda aur mustufa ke deen ka paband hai koi na majme me hazaro ke bhi ghairatmand hai koi musalmano ki ghairat par bohot aansu bahati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2) 7. Sharabi badnasab darbaar hai kitne laee dekhe khadi zainab thi jisne 700 kursi nashee dekhe madad ko saatwe(7) darr par ali ko ye bulati hai abhi tak, shaam ke bazaar se aawaz aati hai..(2)