لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Husain ki madad karo

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
hussain ya hussain ya hussain ya hussain..(4) ye keh rahe hai mustufa ye keh rahe hai murtuza ye keh rahe hai mujtaba ye keh rahi hai fatima ye keh raha hai khud khuda husain ki madad karo..(2) 1. Jo nasire husain the wo khako khu me aa chuke zameen pe qasim e haseen tukdiyo me bat chuke jo bazu e husain tha..haay usi ke haath kat chuke..haay hai ghaazi ab bhi keh raha husain ki madad karo..(4) 2. Sina jigar me ghut chuki pisar bhi kya dikhai de hai budha baap sochta sada koi sunai de nazar ka noor chin chuka..haay kya use dikhai de..haay wo ghutniyo hai chal pada husain ki madad karo..(2) 3. Har ek taraf wo zalzala mayane shark o gharb tha husain ki sada suni ajeeb usme karb tha hal min nasirin yansurna ruka na asghare hazee..haay yahi to waqt e garb tha..haay ye kehke jhule se gira husain ki madad karo..(4) 4. Nahi hai sher bawafa akela reh gaya husain na akbar e hazee raha akela reh gaya husain sagheer bhi chala gaya..haay akela reh gaya husain..haay behen ne karb se kaha husain ki madad karo..(4) 5. Tadap raha hai khaak khoo me fatima ke dil ka chain zamee se arsh tak baland hai zainab e hazi he bayn har ek ki laash legaye..haay pada hai lasha e husain..haay laee hai har kuchal raha husain ki madad karo..(4) 6. Ye keh rahi hai fatima ho khatm din malaal ke tum ashk jo bahaoge rakhungi mai sambhal ke ye ashk leke jaungi..haay bharenge zakhm laal ke..haay azaa ka farsh hai bicha husain ki madad karo..(4) 7. Urooj e ghairat e nabi kisa ka noor e lazawaal na shaam ko bhula saka use aaj bhi malaal husain ki hai aarzu..haay rakhe hijaab ka khayal..haay saro pe tum rakho rida husain ki madad karo..(4) 8. Jo apna ghum chupa raha hai aaj ka husain hai jo ashk e dil baha raha hai aaj ka husain hai madad ko jo bula raha..haay hai aaj ka husain hai..haay suno imaam ki sada husain ki madad karo..(4) 9. Imam e asr ki nazar me kya amal ka hai maqaam qamar azaa ke saath humne kya kiye hai jin ke kaam guroh kitne bangae..haay magar akela hai imam..haay ye aaj ki hai karbala husain ya husain husain ki madad karo..(4)