لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaha kisine sakina se

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
Koi bhi beti tumhari tarah yateem na ho haay meri shahzadi sakina hae mera maula husain apke ahle haram ko gulamo ki tarah qaid karke aur aahni zanjeer me buri tarah jakad ke ooto pe bitha diya gaya din ko dopahar ki garmi se unke chehre julasne lage aur woh garib dayaar kasha kasha bayabano aur jangalo me firaye jaa rahe the unke hath unki gardano se bandh diye gaye the is tarah unko bazaro me phiraya ja raha tha yeh qafila rawaa dawaa tha, ke sheher ki aurto aur bacho ne kuch aisi bachiyo e kaha chalo kuch asir humaari gali se guzre suna hai in aseero yatimo miskino ki dua me bada asar hota hai aurte apne chote bacho ko lekar qafele ki taraf aayi dekha ek bibi baalo se chehra chupaye hue hai aur ek char saal ki bacchi hai jiske gale me rassi hai aur woh ro rahi hai, roti jati hai haye meri shahzadi sakina Kaha kisine sakina se tum dua yeh karo Koi bhi beti tumhari tarah yateem na ho 1. Woh jiska dil ho dukhi raat bhar nahi sota duaen karte hue jab bhi koi hai rota suna hai uski duao me hai asar hota hamare ghar ho salamat yeh tum dua maango 2. Ye keh rahe hai ke beemar ko dawa denge kafan shahido ko behno ko hum rida denge yeh chaar saal ki bacchi ko hum dua denge hame bhi ek dua chahiye ye is se kaho 3. Kaha kisine ke baba safar pe nikle hai kaha yeh maan ke isse duaen lete hai hamare bibi bohot chote chote bacche hai sakina sochne lagti hai lashe asgar ko 4. Yeh nanhi bacchi ki halat pe koi kehta hai najaf me iska koi rishtedaar rehta hai chini hai baliyan kano se khoon behta hai larazte haath hai yeh dekhkar tamacho ko 5. Kaha kisine jo yeh bibiyan hai bechadar yeh fakre maryam o saara hai aale payghambar yeh tauq me jo baradar hai abide muztar imame waqt hai yeh de dua kaho inse 6. Yeh fatema ke hai ghar ki azeem hai rutbe dua kare kaho mushkil kusha ki poti se bohot kareeb hai bacchi yeh arshe khaliq ke dua yeh maang le phaila ke nanhe haatho ko 7. Nahi hai taab ye kurte ko dho nai sakti yeh rona chahti hai aur ro nai sakti yeh qaid khane me ek pal bhi so nahi sakti nahi hai baap ka sina bhi iske sone ko 8. Dua toh kardi sakina ne haath failakar laraz raha hai kamar arshe khaliqe akbar phuphi ne thama sakina ko phat gaya tha jigar hussain ki tarah kitni kareem hai dekho haye kaha sakina ne ehle aza salamat ho sabhi ke nure nazar mahlaqa salamat ho bhatije bhanje sabke chacha salamat ho duae deti hu har waqt apne shiyo ko kisi ki beti bhi meri tarah yateem na ho sakina bibi tumhare ghulam hazir hai bujhe jo pyaas toh ashko ke jaam haazir hai