لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kullo na abbas

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
ya zainab ya zainab ya zainab..(4) kullo na abbasuk ya zainab ya zainab ya zainab ya zainab hum tere abbas hai ya zainab ya zainab ya zainab ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 1. Aaj yazeedi mar jaega aaj husaini jitega aapke roze ki hurmat par baccha baccha jaan dega roze pe aenge jaane lutaenge..(2) roza bachaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 2. Bibi aapki azmat hai ye farshe aza ki hai bani mashke sakina ke bharne ko lae sabilo me pani majlis me aenge saqqa banjaenge..(2) pani pilaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 3. Behno ki izzat ka hawala ye rakhwale hai bhai shehro galiyo me nahi hogi beparda koi bibi rasta banaenge himmat bandhaenge..(2) parda bachaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 4. Bibi aapki majlis hogi ehed na apna todenge kitni bhi pabandi hogi hum na ziyarat chodenge himmat dikhaenge, durre bhi khaenge..(2) bazu kataenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 5. Saari qaume miljaengi qayam aisi hogi reet rehbare haq eeraan rahega hizbullah ki hogi jeet zulmat mitaenge shamme jalaenge..(2) haq sach dikhaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 6. Aaj bhi ehle aza ko hai milte roz hi beto ke laashe auno mohd ka sadqa hai bibi ye mere bacche majlis karaenge aansu bahaenge..(2) laashe uthaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 7. Qabr e sakina zindaa me hai chayn se kab ye soti hai kano se khoo abhi behta hai abhi sakina roti hai mehdi jab aenge talwaar laenge..(2) qaidi chhudaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 8. Bibi saamne hi baitha hai akbar aapke roze ke chaaro taraf firta rehta hai asghar aapke roze ke bhai bhi aaenge budhe bhi aenge bacche bhi aaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2) 9. Aisa qamar lagta hai ke ghaibi haath hamare haath me hai abhi alam uth te hai aise daste burida haath me hai hum zakhm khaenge, marte bhi jaenge..(2) parcham uthaenge ya zainab kullo na abbasuk ya zainab..(2)