لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maidan me zainab aajae

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
Laash akbar ki jo, maqtal se uthata hai husain naujawa ko safe awwal se utha laae husain Chaand ko shaam ke badal se utha laae husain jaa ba lab sher ko jangal se utha laae husain di sada laashe pisar aan ke lejaa bano chid gaya barchi se akbar ka kaleja bano Laash akbar ki jo ae laal mere akbar..(2) mai qurbaan tere akbar de aake sahara, akbar ki mayyat ko uthakar le aaye..(2) gar teri ijazat ho bhai..(2) maidan me zainab aajae ae laal mere akbar..(2) mai qurbaan tere akbar 1. Aashoor ko tune asr talak kya kya na uthae hai sadme khud apne jigar ke tukdo ke laashe bhi uthae hai tune ye laash jawa ki hai bhai..(2) sadme se kahi na marjae ae laal mere akbar, mai qurbaan tere akbar..(2) 2. Akbar ne pukara bhaiyya ko tab se nahi deta dikhlai bete ki judai ke sadme se khatm hui hai beenai..(2) uthte hai kabhi..(2) girte hai khuda ye din na kisi ko dikhlae gar teri ijazat ho bhai, maidan me zainab aajae ae laal mere akbar, mai qurbaan tere akbar..(2) 3. Akbar ka badan talwaro se aada ne kiya tukde tukde barchi jo kaleje me utri to dil bhi hua tukde tukde shabbir ne jo manzar dekha..(2) wo khoon ke ansu rulwaye ae laal mere akbar, mai qurbaan tere akbar..(2) 4. Athara baras ka akbar hai, hai alame peeri me bhaiyya sadma hai qayamat ka dil par laasha hai uthana akbar ka ae kaash paye imdad e akhi..(2) darya se ghaazi aajae ae laal mere akbar, mai qurbaan tere akbar..(2) 5. Abbas gaye kya duniya se bhai ki kamar hi tod chale ek saath tha akbar ka baqi so wo bhi muh ko mod chale peeri me uthe hay peeri me uthe laasha kese hamsheer sahara ban jae gar teri ijazat ho bhai, maidan me zainab aajae ae laal mere akbar, mai qurbaan tere akbar..(2) 6. Ae shadma itna pyara tha shabbir ko zainab ka parda ye kehte hue qaisar sheh ne qurban ali akbar ko kiya na mumkin hai mere hote hue..(2) maidan me zainab aajae gar teri ijazat ho bhai, maidan me zainab aajae ae laal mere akbar, mai qurbaan tere akbar..(2) Shabbir ne ro ro ke kaha zainab e muztar parde pe tere hogaya qurbaa ali akbar maqtal me nahi aana khule sar meri khwahar ta hashr salamat rahe zainab teri chadar kuch yaad hai jab dafn hui raat ko madar us waqt bhi tu ghar se nahi aai thi bahar are dekhega tujhe ran me to mar jaega bhai haan maut se pehle hi guzar jaega bhai..